Imam Hussain (a) ek aisi shaksiyat hai jo zulm ke khilaaf ek mazboot diwaar nazar aate hai. Aap (a)
ki wiladat hijrat ke baad Madina Munawwara me hui jaha Rasul-e-Akram (s) ne
Allah ke Qanun ki bina par ek Ilahi nizaam ka qiyam kiya tha.
Wo aisa waqt tha jab
kuffar-e-Makka Madina par tarah tarah ke zulm kar rahe the aur ek ke baad ek
hamle kar rahe the. Apne bachpan me hi Imam Hussain (a) ne apne walid, Imam Ali
(a) ko kuffar ke zulm ke khilaaf muqabla karte hue dekha. Jange Badr ho ya
Jange Ohad, Khandaq ki jang ho ya phir Khaibar ki jang; yaha tak ki khud Islami
Nizaam me maujood galat logo ke khilaaf khade hona. Imam Hussain (a) ko bachpan
se yehi dars mila tha ki Zulm kahi bhi ho, uske khilaaf baithna jurm hai aur
uske khilaaf qayam ek zaruri amal hai.