16 Jun 2022

Kesar Baug Mumbai ka “Yaad-e-Imam-e-Rahil” ka program misle “Fath-e-Makka” raha


Itwar baroz
12 June 2022 ko Mumbai ke Keaser Baug me Imam Khomeini ki barsi ke mauke par organized kiye gae program “Yaad-e-Imam-e-Rahil” me logo ne badi tadaad me shirkat ki. Program ke shuru hone se pehle hi log apni families ke saath, khas kar apne bachcho ko liye Kesar Baug hall me jama hone lage. Logo ki tadaad itni thi ke chairs kam padne lagi aur log khade reh kar program me shareek ho rahe the.

Jis waqt bachcho ne nazm “Salam Farmahdeh” padhna shuru kiya, us waqt to jaise sailaab aa gaya tha. 200 se zyada bachcho ne nazm me hissa liya aur apne Zamane ke Imam (ATFS) ki khidmat me salaam pesh kiya. Is nazm ki videos bhi social media par bahot viral hui.

Program me Mumbai aur behruni olema ne bhi kaseer tadad me shirkat ki aur program ko mazeed taqwiyat bakhshi. Halanki kuch hi olema ne majme ko khitaab kiya lekin baaki olema shuru se aakhir tak maujood rahe aur program se apni razamandi ka saboot pesh kiya.

Kesar Baug, Mumbai ke us ilaake me maujood hai jahan qaumi markaz ke saath saath Shiat ke mukhtalif fikr ke log rehte hai. Aaj se kuch baras pehle isi jagah par Imam Khomeini (AR) ka naam lene walo ko badnaam kiya jata tha aur unhe shak ki nigaaho se dekha jata tha. Agar koi bhi Imam Khomeini ya Ayatullah Khamenei (DA) se related koi baat karta ya Majlis me un ko refer karta to un par pabandiya aaed kar di jaati.

Lekin salaam ho Imam Khomeini (AR) ki mo’jizana zaat par aur un ke laae gae Islami Inqelaab par, ke logo ke bahot chahne ke baad bhi usi jagah jaha in buzurg hastiyo ki mukhalifat ki gai, unhi ke chahne wale Mumbai ke har ghosho kinaar se apni aurto aur bachcho ke saath shamil hue aur program ko bahot kamiyaab banaya.

Jis tarah Huzur e Akram Mohammed Mustafa (S) ne Islam ko failane ke liye Makka ko chhod kar atraaf ke ilaaqo par dhyan diya aur aakhir me Makka ki taraf sirf paidal nihatte sipahiyo ke saath kooch kar ke Makka fatah kar diya, usi tarah Imam Khomeini (AR) ke laae gae Islami Inqelaab ke chahnewale Mumbai ki zameen par har jagah paida ho gae.

Imam Khomeini (AR) se jab Inqelaab ki muhim ke shuruwaati daur me pucha gaya tha ki inqelaab lane ke liye aap ke sipahi kaha hai, to us waqt unhone kaha tha ki “Wo apni maa’on ki god me pal rahe hai”, usi tarah Imam (AR) ki barsi par Mumbai ke saikdo bachcho ne “Salaam Farmandeh” ki nazm me hissa le kar ye sabit kar diya ki wo bhi Islam ki madad karne ke liye puri tarah tayyar hai.

Imam Khomeini (AR) ke Inqelaab ki ek bahot ahem khoobi ye thi ki wo inqilab ka base Allah (SWT) ki zaat aur awaam me ittehaad (Unity) tha. Inqelaab me Iran ke sabhi logo ne, chahe wo kisi bhi mazhab, maslak, fikr ya background se the, wo sabhi ne badhchad kar hissa liya tha.

Kesar Baug me Imam Khomeini (AR) ki yaad me jo program hua usme bhi qaum ke lagbhag sabhi logo ne hisaa liya. Kuch log is muqaddas program se mehrum reh gae jiski wajah unki Imam Khomeini (AR) ki zaat ke baare me kam samajh ya mis-information ya unko manne wale logo se personal issues ya akhlaqi issues ho sakte hai. Lekin samajhdar logo ka ye wazifa rehta hai ki wo achchi chizo ko dekhte hai aur personal issues ki wajah se agar koi chiz achchai tak pahuchne me aad banti hai to use dur karte hai.

InshaAllah wo waqt zarur aaega jab saari duniya Imam Khomeini (AR) ke laae hue inqelaab par ek saath jama ho jaaege aur zaalim taqato ko is duniya se mita dege.

Fathe Makka ke baad Islam ne jis tarah farogh hasil kiya tha wo misaal aaj bhi zamane ke saamne maujood hai aur InshaAllah usi tarz par aaj ke aaj ke is Fathe Makka ka asar bhi zamana zarur dekhega aur iske asaraat se bharpoor faayeda uthaega.

Abbas Hindi ki kalam se... 

30 Aug 2020

Aashur ko Mumbai me "Taboot" to nikal gaya lekin...

Traditional Taziya of India
COVID-19
ki guidelines ka bahana bana kar Azadaro ko apne mazlum Imam (a) par dil khol kar rone tak na diya gaya aur sadiyo se jo Manzar saatvi Muharram se lagataar roze aashur aur shaame gariba tak dikhaai dete the, uski jagah sadko par sannata tha.
Imambargaahe aur Azadari ke markaz sune reh gae aur Momeneen ke dil tute hue apne Maula (a) ke masaeb par akele me rone par majboor hue. Ba-Khuda, ye Muharram hamesha yaad rahega aur Azadarane Syyad-ush-Shohoda (a) puri koshish karenge ki aaj se jitna ho sake apne Maula (a) ki azadari har tarah, har haal me ittefaq aur aapsi bhaichare ke saath mil kar pure josh-o-kharosh se aur zyada taqat o quwat ke saath karenge.



Bombay High Court ne 5 logo ko symbolic tarike se "Taziya" nikaalne ki ijazat de di aur "Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko ye "Taziya" le jaane ki zimmedari saupi aur saath ye bhi kaha ki Maharashtra ke tamam Muhibbe Imam Hussain (a) ki taraf se Aashura 2020 me sirf ek "Taziya" nikala jaaega.

Isme koi shak nahi ki "Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ke liye ye fakhr ke saath saath zimmedari ka bhi maqam tha. Zimmedari is baat ki ke wo is baat ka khyal karte ki Taziya is tarah se nikaale ki is sirf Mumbai ke Shio ke jazbaat ka khyal na rakhte hue saare Maharashtra ke har us shkas ka bhi khyal rahe jise Imam Hussain (a) se Muhabbat hai.

Maharashtra me sirf Shia hazraat Muharram ka juloos nahi nikaalte, Aashur ke din Shia ke saath Sunni, Hindu, Buddhist aur digar mazhab ke manne wale bhi Imam Hussain (a) ki yaad manate hue "Taziya" nikaalte hai. Maharashtra me bahot si Shia jamate bhi hai jo aaj bhi "Taziya" nikaalte hai. Aashur ka "Taziya" itna mashhoor hai ki Bombay High Court ne "Taziya" nikaalne ki ijazat di, na ki "Taboot".

"Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko "Taziye" se kya pareshani thi wo to unke arakeen ko hi pata hoga lekin "Taziya" sirf Shia nishani nahi balki saare insano me "Imam Hussain (a)" se jise bhi ulfat hai wo "Taziye" ko dekh kar Karbala ke Haram e Imam Hussain (a) ko yaad karta hai wo apne dil me girya karta hai.

"Idare" ne "Taziye" ki jagah "Taboot" nikaal kar na sirf Maharashtra ke Muhibbe Imam Hussain (a) ke armaano ko thes pahuchaai hai balki Bombay High Court ke order ki bhi mukhalifat ki hai jisme saaf likha hai ki "Taziya" nikalne ki ijazat hai.

Isi ke saath jis truck par "Taboot" nikla gaya us ke saamne likha gaya tha "Maqsad-e-Karbala, Aliyun Waliyullah" jo sirf "Idaara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ki soch hai, Imam Hussain (a) ummat ki Islaah ke liye qayam kiya tha.

Isi ke saath jis truck par Taboot nikala gaya, kyu ek bhi Aalim-e-Deen ko saath me nahi rakha gaya? Jabke is saal Mumbai me lagbhag saare Olema maujood the?

"Taziya" nikaalne ki ijazat milne ke baad "Idare" ki zimmedari itni badi thi ki wo saare insaano ke jazbaat ka khyal karte hue Imam Hussain (a) ki Shahadat ki munasibat par saare Muhibbe Imam Hussain (a) ki niyabat me Aashur ka "Taziya" nikaalte, lekin afsoos itni badi zimmedari ko "Idara-e-Tahaffuz-e-Husainiyat" ne sirf apne "Idare" ke zaati faaede ko dhyan me rakh kar har kaam kiya.

"Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko iska jawaab Janabe Fatima (sa) ko dena hoga aur Allah is zimmedari ko sahi se pura nahi karne par "Idaare" ke arakeen se sakht puch karega. Isi ke saath "Idaare" ke arakeen Muhhibe Hussain (a) ke bhi hamesha jawabdeh rahenge.

15 Dec 2019

CAA (CAB) aur NRC ke chalte Ummat kya kare?

Jis din se BJP ki sarkar ka dusra session shuru hua hai, ummat e Muslima par jaise pareshaniyo ke pahad tod diye gae hai. Ek ke baad ek, nae nae bills pass karwa kar Ummat par apni jakad mazboot ki ja rahi hai.

Isme aisa kahi nahi hai ki ye musibat kisi ek firke par padh rahi hai, balki isme har wo insan ko pakda ja raha hai jo Musalman ho. Phir wo Kashmir me rehne wale ho jinhe Article 370 aur 35A ko abrogate kar ke pareshan kiya gaya, ya phir hindustan me rehne wala aam Musalman jise NRC ke chalte apne aaba o ajdad se rishta sabit karne ko kaha gaya.

Kuch log isme bhi sectarian point talash kar ke Shia, Bohri aur Sunni ka rang dene par tule hue hai aur chahte hai ki sirf unka firka bach jaae aur bakiya apne hisab se manage kare, jo ki is waqt me bilkul galat raahe hal hai.

Ummat e Muslima ko is mauqe ko ek opportunity ke taur par dekhna chahiye. Waise ye sab par zahir hai ki 15 karod Musalmano agar ek ho jaar to koi inhe pareshan nahi kar sakta lekin Ummat ko sirf Musalmano ki nahi balki humare pyare mulk Hindistan ke baare me sochna zaruri hai.

CAB (CAA) aur NRC laagu hone se sirf Musalman ka nuksan nahi balki saare Hindustaniyo ka nuksan hoga, jisme apne documents arrange karne se le kar detention center me daale jaane tak ka dar hai. Iske saath saath long run me Indian constitution par jo zarb lagegi wo kai saalo tak nahi durust ki jaa sakegi.

Isliye is unconstitutional law ke khilaaf muzahira karna har Musalman ka fairza hai. Aur is baat ko dusre gair Muslim bhaiyo aur behno tak pahuchana zaruri hai ki kaise ye sirf hame bhi nahi balki unke liye bhi khatarnaak sabit ho sakta hai.

Ek taraf jaha is qanun ke khilaaf awaaz uthane ki zarurat hai, wahi dusri taraf jo zaruri dastavez hame apne aap ko Indian Citizen batane ke liye zaruri hai usko jama karna aur mazboot karna bhi zaruri hai. Ye kisi ek fard ka kaam nahi hai balki har kisi ka kaam hai ki wo ek dusre ki madad kare aur jis tarah mumkin ho sabke dastavez mukammal kare.

Ye sirf isliye nahi hai ki hume BJP ki policies se dar lag raha hai balki dastavez ka mukammal hona humara bhi zaruri fariza hai.

Ummat ke zimmedaran ka fariza hai ki sabhi logo ke saath achcha taalmel banakar ek centralized database tayyar kare aur logo ki details ek mehfuz jagah par jama kar ke is azeem zakhire ko achchi tarah se istemaal kare.

Waise Ummat me bahot si baato par ikhtelaaf hai lekin aaj aisa waqt aa gaya hai ki hame saath milkar ladhne ki zyada zarurat hai. 

Is mauke ka fayeda uthate hue saath aae... Haath me haath daalkar kaam kare aur apna deeni, samaji aur hindustani hone ka fariza anjaam de.

18 Nov 2019

Rangeele VP ke President banne ke Rangeele Sapne


Kya aap ne suna? Rangeela VP ab aap hi ke bharose par President banne ke khawb dekh raha hai!

Umeed hai, aap sab ko yaad hoga ki “Rangeele VP” ko “Rangeela” kyu kaha gaya tha!

Waise to likhe hue bahot arsa guzar gaya. Zamana bhi badal gaya. Humari kamzor yadash me se Rangeeli harkate bhi nikal gai.

Lekin VP sahab ko jab Tv Channel par apne aise kaam jiski wajah se qaum ne tarraqi nahi balki pasti ki taraf safar kiya, uski waah waahi karte suni, to phir raha nahi gaya.

VP sahab ne apne bete ki shadi ki thi jisme unke pasandida European Zakir ko bulaya tha. Ittefaq se us shadi me VP sahab ke ladke ke dosto ne kuch Bollywood songs par dance kiya

Ab bachche hai, kya bol sakte hai? Khair chhodo bhi! 

Lekin ek aur ittefaq hua ki us party me jamat ke dusre guests bhi maujood the… aur wo sutro ke mutabiq European Zakir bhi.

Ab sawal ye uthta hai ki Rangeele VP, jo deen ke muharremaat ko khul kar pamaal kar raha hai, us par deeni idare ki zimmedari kaise di ja sakti hai?
Aage aap ki marzi.

VP sahab waise to mazhabi mamelaat me zyada dakhandaazi nahi karte hai. Deen lag, Siyasat alag ka formula le kar chalte hai. Lekin vote bank politics ke chalte kuch Malang aur Akhbari logo ka man rakhne ke liye Olema par pabandi zarur laga diye the.

Baat ko ghumane ke liye video nikaal diye ki pabandi nahi lagaae, sirf invite nahi karenge. Iske baad jab Vidarbh ki kuch jamat ne inhi me se ek Maulana ko kisi marhum ki majlis ke liye bulaae, to inhi VP sahab ne Jamat ke presidents par pressure build kiye aur baat is had tak badhaae ki ek bachchi ki padhai ki fees tak rok diye. Yaad to hoga hi aapko. Audio clips bhi viral kiye the VP Sahab ne.

Waise shayad BAN ya unki basha Mai bole ki not invite bhi theek hi tha. Aakhir Olema ki lagam bhi paise walo ke haath Mai honi chahiye. Jab sach padna shuru kare toh kheech ke rakhna chahiye.

Khair… Ab VP sahab to Rangeele hi hai. Inki harkate bhi Rangeeli hi rahegi.

Baat yaad aa gai thi to socha sab ko yaad dilate chale… Waise “Sab Thik Thaak hi chal raha hai”.

1 Oct 2018

Yazeed jaiso ki hukumat kaise banti hai?

Hum ne Majlis aur Nauho me aksar suna hoga ki "Qatl e Hussain (as) hua Nara e Takbeer ke sath", "Imam ki shahadat se pehle fatwa jaari kiya gaya tha ki Hussain (a) wajibul qatl hai".

Samajh me ye nahi aata tha ki jab Yazeed ko deen se koi lena dena nahi tha to Takbeer ka naara kyu lagaya gaya? Fatwa lene ki zarurat kyu padi?

Ye chize aaj samajh me aa rahi hai.

Kuch mafaad parast log deen ke Ohdedar bane baithe hai jaise "Rangeela VP" aur deen, Janabe Fatima (s), Azadari aur rusumaat ka naam le le kaar awaam ko bewakuf bana rahe hai. Naam to deen ka lete hai aur rukume shariya (religious donations - Khums, Masjid building donation, etc.) Collect karte hai lekin jab ye fund dene ki baat aati hai to condition lagate hai ki unki baat manna padega.

Agar koi inki mukhalifat kare to unhe fund rokne ki dhamkiya dete hai.

Ye thik usi tarah hai jaise Yazid kiya karta tha! Khud to be-deen tha, naach gana kiya karta tha, haram halaal me farq nahi pata tha, shariat ka koi qanoon nahi pata tha; lekin Zabardasti deeni mansab par chad baitha tha jaisa ki aaj kal Rangeela VP aur uske chahite Chele chapate, Counsellors aur kuch jamat ke presidents deeni markaz ke seth ban baithe hai.

Agar koi inke khilaf ja kar hatta Majlis e Imam Hussain (a) bhi kare to ye log un par bhi pabandi lagate hai aur Majlis karwane ki saza me Maafi Nama likhwate hai. Kya ye Yazidi Sunnat nahi hai?

Yazid khud aa kar logo par zulm nahi karta tha balki uske niche wale log uski chaplusi me ye kaam karte the. Aaj bhi dhamki uske chele de rahe hai que awaam ko dabane ke liye gunde mawaliyo ko samne khade kar dete hai. Agar awaam gundo se nahi dari to fund rok lene ki dhamki dete hai.

Jab bhi hum aise mahol ko samne dekhe to humara kaam hai ki ek jut ho kar aise Rangeelo ke khilaf apni awaaz buland kare. Agar aisa nahi karoge to zalim mazboot hoga aur haq kamzor.

Isme darne ki zarurat nahi hai, InshaAllah fund ka intezam Allah kar dega aur zalim ke khilaf khade hone walo ki hifazat bhi Allah ke zimme hai.

Aao ek kaam kare, karbala aam kare

Zalim ke khilaaf mil jhul kar khade ho kar ye dikhaae ki aaj hum Imam Hussain (a) ki "Halmin Nasir" ki sada par "Labbaik" kehne wale hai.

Was Salam

Kesar Baug Mumbai ka “Yaad-e-Imam-e-Rahil” ka program misle “Fath-e-Makka” raha Kesar Baug Mumbai ka “Yaad-e-Imam-e-Rahil” ka program misle “Fath-e-Makka” raha

Itwar baroz 12 June 2022 ko Mumbai ke Keaser Baug me Imam Khomeini ki barsi ke mauke par organized kiye gae program “ Yaad-e-Imam-e-Rahil...

Aashur ko Mumbai me "Taboot" to nikal gaya lekin... Aashur ko Mumbai me "Taboot" to nikal gaya lekin...

Traditional Taziya of India COVID-19 ki guidelines ka bahana bana kar Azadaro ko apne mazlum Imam (a) par dil khol kar rone tak na diya gaya...

CAA (CAB) aur NRC ke chalte Ummat kya kare? CAA (CAB) aur NRC ke chalte Ummat kya kare?

Jis din se BJP ki sarkar ka dusra session shuru hua hai, ummat e Muslima par jaise pareshaniyo ke pahad tod diye gae hai. Ek ke baad ek, nae...

Rangeele VP ke President banne ke Rangeele Sapne Rangeele VP ke President banne ke Rangeele Sapne

Kya aap ne suna? Rangeela VP ab aap hi ke bharose par President banne ke khawb dekh raha hai! Umeed hai, aap sab ko yaad hoga ki “ Ra...

Yazeed jaiso ki hukumat kaise banti hai? Yazeed jaiso ki hukumat kaise banti hai?

Hum ne Majlis aur Nauho me aksar suna hoga ki " Qatl e Hussain (as) hua Nara e Takbeer ke sath", "Imam ki shahadat se pehle f...

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments