13 rajab ka juloos, masla-e-zainabia aur qaum ke jawaan
Agar hame kisi qaum ke
zinda ya murda hone ki jaach karni hai to dekhna hoga ki uske jawan kin muddo
ko le kar hassasiyat dikh rahe hai. Agar muaashre me jin points par baat chal
rahi hai wo qaum ke bhalai ke liye hai aur un muddo par qaum ke buzurgo aur
ulema ke sath hai to samjhe ki qaum ek sahi raah par aage badh rahi hai; lekin
agar jawan taish me aa kar koi mudde ko apne man se, aur baghair kisi buzurg /
aalim ke hassasiyat dikha rahe hai aur use jeene ya marne ki baat samajh rahe
hai, to samjhiye ki qaum ki leadership sahi hatho me hai hai aur future saaf
nazar nahi aa raha hai.
Pichle dino Mumbai me hue
kuch hadesaat is baat ki taraf ishara karte hai ki hamari qaum k ijawano ki
taraf buzurgaan aur ulema ko khas dhyan dene ki zarurat hai. In sab me sare
fehrist hai jawano ki tarbiyat aur dusre mazahib se rishte naate rakhne ke
aadaab.
Har saal ki tarah is saal
bhi youme wiladat-e-Imam Ali (a) ke roz ek pur josh juloos Mumbai ke dongri ilaaqe
me nikla. Yaad rahe ki Mumbai ka Dongri ilaqe me Musalmano ke sabhi maslak aur
fikr ke log rehte hai, jinme Shia, Sunni, Bohri, Aghakhani aur digar log ek
sath mil kare rehte hai. Aise mahol me hamare taraf se zara si bhi naadani ek
amn wale mahol ko firqaparast tanaw me tabdeel kar sakti hai.
Pichle saal ke 13 Rajab
ke juloos me qaum ke kuch jawaan aur bachche ek sochi samjhe tarike se Ahle
Sunnat ke muqaddesat ko lanat malamat karte nazar aae the, jiska video YouTube
par bhi post kar diya gaya tha, jiski wajah se qaum Shia Sunni tanaw se baal
baal bachi thi. Is sanihe ke baad chahiye ye tha ki qaum ke buzurgaan aur olema
baith kar is bare me sochte ki aisi halat kyu aai ki qaum ke jawaan aur bachche
bina kisi jhijhak ke dusre qaum par lanat malamat karne par aamada ho gae. Aur agar
hue bhi to phir inhe wapas kis tarah shant kiya jaae. Lekin afsoos, aisa kuch
hua nahi aur ek saal guzar gaya.
Is saal phir usi roz, jis
din kaaenaat ka maula aur aqa ki wiladat hai aur jisne duniya me rehne wale
sabhi insaano ke sath jine ka tariqa sikhaya, usi din hamare qaum ke jawaan
raasto par nikalte hai aur dusro ke muqaddesaat ke sath sath khud hamare Shia
ulema par lanat malamat ka silsila jaari ho jata hai. Is saal ek aur kadi is
gaali galoch me shamil ki jaati hai aur wo hai “Bohri samaj ke sarparast,
sayyadana sahib” ki shaksiyat.
Hamare jawaan jab bohri
mohalle me moujood Zainabia imambada pahuchte hai, jo ki bohri jamat ka markaz
hai; Sayyadana sahib ka naam le le kar lanat bheji gai. Jab wajah puchi to kaha
ki Imambada Zainabia ki kharid aur farokht me wo shamil hai, isliye ek shia
jawan ko ye haq hasil hai ki wo un par gaali galoch aur lanat malamat kar sakta
hai.
Yaha par sochne ki baat
ye hai ki masla zainabia imambada ki kharid aur farokht ka hai, jo ki qaum ke
zimmedaro aur ulema ke tahat aata hai, na ki jawano ko ye haq hasil hai ki wo
qaum ke buzurgo aur dusre mazhab walo ko bura bhala kehte fire.
In sab ke chalet hua wohi
jiska dart ha. Us juloos me jo bohri sayyedana ko jo bura bhala kaha rahay tha
uski video clip viral ho gai aur bohri biradari me ja pahuchi; jisko le kar
bohri jamat ne police me case darj karwaya. Police ne bhi video me mulawwis
shaks ko giraftaar kar liya fir baad me bail par use riha kar diya gaya.
Baat yahan giraftaar
karne aur bail pe chutne ki nahi hai, balki do maslako ke bich ke rishto ki
hai. Musalmano me bohri biradari aur Shia Hazraat me kaafi gehre taalluq rahe
hai. Wo hamari majliso matamme aate hai aur bahot si jaghe aisi hai jaha hamare
maulana unke gharo par majlise padhne jaate hai. In sab se tableegh ka silsila
khula hua hai aur hamne dekha ki isi Mumbai shahar me Mazgaon par jo bohri shia
imambada hai waha aksar wo log aate hai jo pehle bohri the.
Agar gaali galoch aur
lanat malamat se mamle hal hua karte to deen aur mazhab me hikmat aur saleeqe
ki raah ko badhawa nahi diya jaata. Lekin afsoos, aaj hamare jawaan ko deen ke
naam par gaali galoch aur lanat sikhaya gaya aur aisi hadise pesh ki gai jisse
ye fikr aam ho.
In sab ke beech qaum ka
ek aham tabqa abhi tak is mauzu par kuch bhi bolne ke liye raazi nahi hai aur
apni zimmedariyo se jaan chudaae roz marra ke amaal me laga hua hai, aur wo hai
qaum ke ulema. Jawano ki rehnumai karna aur unko sidhe raah par lana ulema ka
kaam hai. Agar jawan nahi sun rahe to nae nae nuskhe aur raaste nikaal kar
jawano par kaam karna ek aham zimmedari hai. Ye keh kar khamosh nahi baitha ja
sakta ki jawan sunte hai.
Bazaar me agar koi naya
product aata hai to use public ki zindagi me lane ke liye marketing companiya
na jaane kitne jatan kar ke paise kharch kar ke use bechti hai, tab ja kar company
ko munafa hota hai. Aaj deeni fikr ki tarweej ke liye bhi zimmedaraan ko jawano
tak pahuchne ke liye nae nae tarikekaar sochne ki zarurat hai. Qaum me
alhamdulilah aise bahot se ulema hai jo apne ilqao me zabardast kaam kar rahe
hai, lekin aksar o beshtar apne juma ke khutbe ko bhi sahi tariqe se istemaal
kar paane me qasir nazar aate hai. Aaj waqt hai ki ulema is nehej par soche ki
aane wali naslo ko kis tarah training di jaae ki wo qaum ka naam kharab karne
ki jagah qaum ke naam ko ucha kare.
Isi ke sath jawano ko bhi
samajhne ki zarurat hai ki hindustaan me rehte hue kisi bhi maslak ya mazhab ko
gaali galoch ya lanat malamat kar ke samaji satah par zindagi nahi guzari ja
sakti. Aisa sochna galat hi nahi balki ijtemaai khudkushi hogo. Hamare dusri
qaumo ke sath jitney achche rawabit rahege, utna hame dusro par kaam karne ka
mauqa milega aur deen ki tableegh hogi aur sath hi is duniya me achche dost aur
padosi milege.
Aaimma (a) ki zindagi me
hame har lamha aise marahil milege jisme wo kisi yahudi, kafir, ahle sunnat
yaha tak kisi dehriye ke sath bhi achche suluq karte nazar aate hai. Phir ye
hamari qaum ko achanak kya hogaya, ki puri insaaniyat ko lanat karne par aamada
hogai? Ye bimaari kaha se aa lagi ke chunki ham Ahlebait (a) ke maannewale hai
to hame ye haq hasil hai ki ham dusre sabhi ko gaali galoch / lanat malamat
karne ka haq rakhte hai? Ye ek niche soch hai aur isse hame ubharna hoga aur is
silsile me qaum ki rehnumaai ulema keraam hi kar sakte hai.
Inshallah umeed hai ki
ulema apni zimmedariyo ko samjhege aur qaum ke saamne sahi raahe hal rakhne ke
saath ise aage bhi bhadhaege aur qaum ke jawaan apne ulema ki izzat o waqar ko
sarbuland rakhte hue diye gae farmaan par amal paira hoge. Inshallah jald ham
dekhege ki hamari qaum sarbuland hogi aur dusri qaumo ke logo ko apni taraf
aakarshit karte hue deen ke paigham ko saari duniya me failaegi.
0 comments:
Post a Comment