Hindustan me Shia qaum ke representation ka sawal ek aisa sawal hai jiska jawab milna bahot mushkil nazar aata hai. Agar Qaum ke dastawezo, jaise Quraan aur Hadis ki roshni me dekhe to qaum ka rehnuma / leader / rehbar ek Aadil, baizzat aur deen ke jannewale bade aalim-e-deen ko hona chahiye. Lekin kya Hindustani Shia qaum me rehbariyat ke maqam par kaun faez hai?
Is simt me humne awaam se janne ki koshish kari to hume alag alag jawaab mile. Mumbai me Khoja Shia Isna Asheri Jamat ke markaz me ja kar jab ek aam Khoja shaks se pucha ke aap ke nadzik Hindustan me Shia qaum ka rehbar kaun hai? Jawaab me pehle to khamoshi mili. Lekin baad me thoda sochne ke baad jawab mila ke "Khoja Masjid Mumbai ke Imam-e-Juma, Maulana Ahmed Ali Abedi qaum ke rehnuma hai". Lekin isi masjid ke thodi dur maujood Mogal Masjid, jise Irani Masjid bhi kaha jaata hai, is sawal par kabhi Maulana Hasnain Kararvi ka naam saamne aaya to kabhi Lucknow ke Maulana Kalbe Jawad Naqvi sahab ka naam.
Yeh sirf Mumbai ki baat nahi balki agar saare Hindustan ki baat ki jaae to aisa hi confusion saari qaum me paya ja raha hai. Lucknow aur Hyderabad, jo ki tadad ke hisab se bade centers hai, waha bhi leadership clear nahi hai. Ek taraf Lucknow me Maulana Kalbe Jawad sahab ke mannewalo ki bharpoor tadaad hai wahi dusri taraf kuch saal pehle banae gae "All India Shia Personal Law Board" apne aap ko qaum ka rehnuma batata hai, jiske chairman Marhum Mirza Mohammed Athar Sahab reh chuke hai aur ab unke bhai chairman bane hai. Marhum Athar Sahab ke bete, Maulana Yasub Sahab Shia Personal Law Board ke Spokesman bane hai.
Dekha jaae to Hindustan me Shia qaum ki tadaad 3 se 4 karod ke bhich hai, jo ki ek achchi tadaad hai, lekin leader / rehnuma ki ghair maujoodgi qaum ki lashauri (immaturity) aur apas me shadeed ikhtelaaf ki taraf ishara karti hai. Shia qaum apne aap ko Imam Ali (a) ka pairo maanti hai aur Imam Ali (a) farmaate hai ki agar safar me niklo aur sirf do shaks bhi saath me ho to ek ko Ameer / leader / rehbar appoint kar do. Rehbariyat Shiat ke basics me hai aur is par itna zor diya gaya hai ki apne Aakhri Hajj par Rasul-e-Khuda (s) ne Imam Ali (a) ko apna jaanashin appoint kar diya. Lekin jab practical front par baat aati hai to is topic par Shia Qaum hi sabse piche nazar aati hai.
Ek leader ki gair maujoodgi me galat log leader ki gaddi par baith jaate hai aur aise bahot se namune humare saamne hai. Isme se ek "All India Shia Personal Law Board" ka hai. Is board ko Shia qaum ki kis hadd tak representation hasil hai? Kya Hindustan ke sabhi bade olema is board se ittefaq rakhte hai? Agar ittefaq rakhte hai to phir iske meetings aur jalse me Hindustan ke bade olema kyu shirkat nahi karte? Is board me Shia qaum ke olema ke naam par aksar Zakerin kyu nazar aate hai? Kya zarurat pad gai ki "All India Muslim Personal Law Board" ke hote hue Shia Qaum ko alag ho kar apna ek Board banana pada jisme olema ki tadaad itni kam hai? Aur kya Board banne ke baad Shia qaum ka is Board ke zariye kya kaam hua? Kitne masle hal kiye gae? Kya iski report aam ki gai? Aise bahot se sawaal hai jo Board ko batana zaruri hai.
Isi ke saath qaum ke kuch mansab aur martaba pasand logo ne ek political party bana li jiska naam "Shia People's Party" rakha gaya hai. Waise to Shia Qaum ka basic belief hai ki deen me ya deen ke naam par Siyasat haraam hai, lekin yehi log jab martabe aur mansab ki baat aati hai to qaum ke representation ke naam par political party banana aib nahi jaante. Itna hi nahi, Hindustan me Musalmano ke shadeed dushman Rashtriya Sewak Sangh se judi hui partiyo se apne haath mila liye hai aur kehte hai ki ye SARKAAR hai aur agar inse alag rahe to jeena mushkil ho jaaega. Aisa kehte hai maano Hindustan me jo bhi Anti BJP / Anti RSS hai unhe jeene hi nahi diya ja raha ho.
Marhum Maulana Mohammed Mirza Athar Sahab jinhone apne Mumbai ke ashre me bahot si Majliso ka title "Mulukiyat", "Siyasat", "Aameriyat", wagairah rakha aur koshish ki ke deen ko isse alag rakha jaae aur qaum ko samjhaya jaae ki agar gandi siyasat deen me dakhil ki jaaegi to iska natija Yazidiyat hoga. Unhi Maulana ke chehlum ki majlis me "Shia People Party" apne banner par Marhum Athar Sahab ke photo ke saath Modi aur Bal Thackrey ke photos liye nazar aai.
Kisne haq diya hai is party ke ohdedaaro ko ke ye log Shia qaum ki numaindagi ka dum bhar kar Modi aur Shiv Sena se khule aam haath mila kar qaum ko badnaam kar rahe hai? Qaum ke Olema is simt me kyu koi iqdaam nahi kar rahe? Kya waqt padne par Zalim aur Khuni ko apna dost bana kar uska photo utha kar jai jai kaar karna humara sheba hai? Humne Imam Hussain (a) se kya yehi sikha hai ki apne aqdaaro ko qurbaan kar do lekin apne martabe ko hasil karo?
Sabse aham baat yeh hai ki Shia Personal Law Board aur Shia People's Party ke saamne Shia qaum ki khamoshi ek bada sawaliya nishan hai. Kya Shia Qaum aise logo ko apna representation karne par khush hai jinhe deen ki "alif ba" bhi nahi aati? Kya humare qaum ke Olema khatm ho gae hai ki Zakerin ka banaya hua "Personal Law Board" humare masael par bahas karega? Kya is Board ne Lucknow ke Imambado me filmi gaano ki shootings par koi awaaz buland ki? Kya is Board ne Musalmano par ho rahe zulm ke khilaaf koi iqdaam kiya? Agar jawaab nahi hai to phir ye Board kyu banaya gaya aur Shia People Party ki kya haisiyat hai?
Agar qaum aaj sawal nahi uthaegi to duniya ko yeh message jaaega ki Shia Qaum ko Muslamano ke halaat se koi lena dena nahi hai. Musalmano ke qatil se khule aam haath milane waale kabhi Shia Qaum ko represent nahi kar sakte lekin agar qaum khamosh rahi to yehi log Qaum ke pehchan ban jaaege aur is dhabbe ko Qaum kabhi nahi mita paaegi.
Aaj waqt hai, sahi qadam uthate hue qaum ke olema aur awaam ko faisla karte hue aise logo ko bahar karna chahiye jo apne mafaad ko pura karne ke liye zalim aur jabir logo se haath milana pasand karte hai aur ispar khush bhi rehte hai.
Faisla aapka hai... Qaum ka future aapke haath me hai!!!
Tehrir: Abbas Hindi
0 comments:
Post a Comment