Aam taur par Hindustan me Shia qaum me siyasat
ko ek napaak aur najis chiz se tabir kiya jata hai aur deen ko isse dur rakha
jata hai. “Deen aur Siyasat” is mauzu par saikdo majlise padi ja chuki hai aur har
majlis me siyasat ko mulukiyat se jod kar dikhaya jata hai. Mulukiyat wahi chiz
hai jo insan ko itna maddaparast (materialist) bana deti hai ki insan sahi aur
galat ki tameez bhul kar apni rajgaddi bachane ke piche pad jata hai. Aisi
siyasat se sabhi logo ko bachne ki bahot zarurat hai.
Lekin dusri taraf se dekha jaae to Siyasat ka
ek aur pehlu bhi hai jo ki samaj ki baagdor ko sambhalta hai; samaj ke liye
qanun banana; nai uchaiyo par le jana aur ek behtar future ki taraf aage
badhna. In sab chizo ke liye Siyasat me achche logo ki zarurat hai. Agar achche
log Siyasat ko ganda aur najis tasawwur karne lagege to samaj ka future sahi
hatho me kabhi nahi ja sakega. Isi ke sath Siyasat ko hamesha ek buri nigah se
hi dekha jata rahega jisse achche log aage bhi isse dur hi rahege, jo kisi bhi
qaum aur samaj ke liye sahi nahi hai.
Yahan hum Siyasat ke us pehlu ki baat kar rahe
hai jisse humari rozmarra ki zindagi judi hui hai aur jiska paak aur tehzeeb
wale hatho me rehna bahot zaruri hai. Rishwatkhori aur Brashtachar to aajkal
Siyasat ka ek aisa hissa ho chukka hai jo kabhi alag nahi ho sakta. Aise me Shiane
Ali hone ke naate hum kya kirdaar nibhate hai is par bahot kuch nirbhar karta
hai.
Is samaji zarurat ko pura karne ke liye pehle
qaum me apne watan ke liye ek muhabbat aur apnaiyat ki zarurat hai, jiski wajah
se watan ke liye aage badh kar koshish karne ka jazba humare andar aae. Apne aap
ko sirf apne mazhab aur firke ke logo tak mehdud rakhne se yeh maqsad hal nahi
hone wala.
Isi ke sath agar qaum me sarsari nazar daudai
jaae to kuch important points groups nazar aate hai:
- Kuch log Siyasat ko sire se haram jaante hai; aur kisi bhi tarah isse qareeb jaane ki koshish nahi karte
- Kuch log Siyasat ko personal level par jayaz jaan kar usme hissa lete hai lekin mazhab ko isse dur hi rakhte hai
- Kuch log Siyasat ko haram to jaante hai; lekin qaum ke liye faaede hasil karne ke waaste Siyasi galiyaro me chakkar lagane ko bura nahi samajhte. Isi liye qaum ka naam le kar siyasatdaano ke aage piche ghumte hai taaki kuch mil jaae
- Kuch log Siyasat ko deen ka hissa jaante hai, lekin sirf international topics par baate karte hai. Jab baat maqami Siyasat ki aati hai to takiya kalam rehta hai ki “Abhi waqt nahi aaya hai”
Pehli aur dusri qism ke log humare topic me sire
se bahar ho jaate hai; lekin jab baat tisre aur chauthe qism ke logo ki aati
hai to mamla thoda pechida ho jaata hai.
Teesre qism me ek important group hai. In jaise
logo ne India me ek naam nihaad political party bana li hai aur apne aap ko “Shia
Political Party” ke naam se bulate hai. Inse jab pucha gaya ki mazhab ke naam
par Siyasat join karne ke piche ki wajah kya hai? To jawab mila ki “hum king to
nahi ban sakte, to king maker to ban sakte hai. Congress ne humara naam le kar
hume bahot nuksaan pahuchaya; humare naam par Sunni aur Wahabi logo ne Sarkar se
sab chin liya, ab BJP aur Hindutva wadiyo ki government aai hai jo Sunni aur
Wahabiyo ke khilaaf hai, to hume inse qarabat badha kar jo kuch ho sake nikalwa
lena chahiye.”
Aise khayalaat khud party ke liye hi nahi balki
qaum ke liye bhi khatarnaak hai. Hindustan jaise democratic mulk me apni asli
taqat kisi political party se qareeb jaane me nahi balki khud apne kirdaar se
apni image bana kar taqat banne me hai. Aise shortcuts qaum ke liye aage chal
kar bahot nuksaandeh sabit ho sakte hai.
Chauthe qism ke logo ki misaal “Sheikh-Chilli”
jaisi hai jo apne dimaag me to bahot bada mahal bana lete hai lekin haqiqat me
inka kahi koi wujud nahi hota. Inqelaab ki baat karte karte America aur Israel
par to bahot lanat malamat kar chuke lekin jab maqami masael ki baat ki jaati
hai to thode gumshuda nazar aate hai aur aisi sab baato ka karna zaruri nahi
samajhte. 1400 saal purane Yazid par lanat karne se jis tarah aaj zahiri
nuksaan nahi hai usi tarah 14000 kilometer dur baithe America par lanat karne
se bhi itna nuksaan nahi hai, jitna aaj ke Yazid aur makami zulm ke khilaaf
awaaz uthane se ho sakta hai. Lekin phir bhi in logo ko yeh baat samajh me nahi
aa rahi ke maqami masael par baat karna zaruri kyu hai.
Deen aur apne dabdabe ki baate sun kar naujawan
jazbaati ho kar in logo ka sath to zarur de dete hai lekin jab thoda gehrai se
sochte hai ki international topics par baat kar ke local level par mujhe kya
hasil ho raha hai; aise waqt me jawan sath chod baithte hai ya involvement kam
kar dete hai.
Aaj Shia leadership ko yeh sochna padega ki
achche future ke liye qaum ke basic definitions par kaam karne ki zarurat hai,
nahi to hum aapas ke chote chote masael par hi lad kar ek dusre ki jaan le
lege. Agar qaum ko bada sapna dikhana chahte hai to uske liye zameen hamwaar
karne ki bahot shadeed zarurat hai nahi to “Shia People’s party” ya
International topics par baate karne waale giroh qaum ko bahot bhari nuksaan
pahucha chuke hoge. In topics ko kam se kam discussions me laane ki bahot
zarurat hai aur qaum ke padhe likhe log aur college / university jaane wale
naujawan is simt me kaam kar sakte hai. Leadership in jawano ko barabar se loop
me rakh kar planning kar sakti hai taaki planned tariqe se achche future ki
taraf qaum ki rehnumai ki ja sake.
Tehrir: Abbas Hindi
0 comments:
Post a Comment