16 Jul 2016

Ummat ya Rewad / Bhed

Pichle kuch saalo me Hindustan ke siyasi mahol me bahot se changes hue hai jisse Musalman aur khas kar Shia Qaum achuti nahi rahi hai. Inhi me se ek BJP ka elections jeet kar ubharna aur JNU students ke sath mil kar saare desh me aazad fikr logo ka ruling party ke khilaaf khade hona bahot important issues the. Isi ke saath sath bahot se aise mudde bhi rahe hai jaha ek zinda qaum hone ke naate hume apna stand dikhana zaruri tha. Lekin afsos hum maidan me nahi dikhai diye.

Allah (SWT) ne apne jitne bhi waade kiye hai wo ek Ummat ke liye kiye hai aur Ummat ki khasiyat yeh hai ki wo hamesha zinda, active, sachet aur apne Qaed (Rehbar) ke sath hoti hai aur uske farman par mar mitne ke liye tayyar hoti hai.

Iske barkhilaaf Hindustan me Shia qaum ka mamla kuch ulta nazar aata hai. Qaum ek taraf har qism ke rusumaat ko jaari rakhne ko zindadili pukarti hai, wahi dusri taraf Ulema ka khamosh baithna mamle ko aur kamzor kar deta hai. 

Bahot zaruri waqeaat me ek waqea Zakir Naik ki media trial ka bhi hai jise media ne khub uchala. Hindustan ki saari Muslim jamate bhi alag alag stand leti dikhai di. Kuch ne khuld kar himayat ki aur kuch ne mukhalifat. Shia qaum ki taraf se bahot se olema ne khamosh rehne ko terjih di jabki kuch olema media ki ha me ha milate hue Zakir Naik ko aatankwadi kehte sunai diye. Kuch olema ne to yaha tak keh diya ki Modi ji achcha kaam kar rahe hai; sabko sath le kar chal rahe hai. Jaha saara Hindustan me afra tafri ka mahol hai; Kashmir jal raha hai; education ka bhagvakaran ho raha hai; Uttar Pradesh me logo ko afwaho ki bina par mara ja raha hai.. aur hum keh rahe hai ki sarkar achcha kaam kar rahi hai.

Ummat ka aisa haal kabhi kisi ne nahi dekha hoga jab saare Hindustan me kisi Shia ko chand nahi dikhne ke baad bhi Eid manai jaati hai. Olema se pucha jata hai to Najaf ki taraf ungli utha di jaati hai, jabke khud Mujtahid ka fatwa unki Tauzeeh-al-Masael me maujood hai ki Mujtahid ke fatwe ki buniyaad par kisi ilaqe me chand sabit nahi kiya ja sakta.

Qaum ek aise mod par khadi hai jaha use rehnumai ki sakht zarurat hai. Aur usse badi baat yeh ki qaum rehbar ko maan kar uske piche chalne ke liye bhi tayyar hai. Lekin chuki akele apne man se chalne ki bahot pehle se aadat si ho gai hai, leader mazboot chahiye ki qaum ko majboor kare ki uske piche chale. Agar koi aisa diler rehbar zahir hota hai, to beshak ye qaum apne pure wujood ke sath us rehbar / leader ki itatat ke liye tayyar khadi hai.

Masla ye hai ki pehle Olema tae kare ki aaj Hindustan me kaun hai jo rehbariyat ke layaq hai aur kis tarah se qaum ko us rehbar ke piche chalaya ja sakta hai. Jab tak rehbar / leader nahi mil jata; Hindustan ki Shia qaum ek rewad ki manind rahegi jiska future andher nazar aata hai aur beshumar khatre abhi se dikh rahe hai. 

Allah (SWT) qaum ki rehnumai kare aur ek Ummat ban kar jine ki taufeeq ata kare. Ilahi Ameen.

Tehrir: Abbas Hindi     

0 comments:

Post a Comment

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments