Karbala ke waqye ko dekha jaae to har ek
Shaheed apni jaan dene ke liye tayyar nazar aata hai. Shabe Aashur sabhi maae
aur behne apne bachcho aur bhaiyo ki hausla afzaai karti nazar aati hai ki deen
ki hifazat ke liye jaan dene me kisi bhi tarah ki kotahi na hone paae.
Lekin jab ham apni majliso aur nauho par nazar
karte hai to aisa mehsus hota hai ki har Shaheed apne zakhmo se ghamzada hai
aur aurto me apne bachcho ko khoon me lathpath dekh kar ranj aur sadma hai.
Kahi koi Janabe Ali Akbar ko dulha bana dekhna
chah raha hai to koi Janabe Qasim ki shadi hoti dekh raha hai; ye sab roze
Aashur ki haqiqat se koso dur hai aur Karbala ke paigham ke sath nainsafi hai.
Rusumi Karbala ki taraf nazar kare to Muharram
mannato aur dua qubul karwane ka mahina hai jaha fal (Fruit) utha kar, diye
jala kar aur sharbat baat kar aulad, maal aur aashaish mangi jaata hai.
Wahi Inqelabi Karbala ko dekhe to aulad, maal
aur aashaish khuda ki raah me qurbani karna sikhati hai.
Jaise hi Karbala ko dekhne ki nazar badalti
hai, niyat maddaparasti (Materialism) se manawiyat (Spiritualism) ki taraf
badti hai jo ki Karbala ka haqiqi maqsad hai ki is duniya me fas kar na reh
jaae balki deen ko ahmiyat (Importance) de aur apna sab kuch deen ke liye
qurbaan karne ke liye hamesha tayyar rahe.
Rusumi Karbala humare dilo me aulad, maal aur
aashaish ki lalach badhati hai jabki Haqiqi Karbala hame aamada karti hai ki
Deen-e-Khuda ke liye aage badh kar kaam kare aur is raah me apni jaan tak
qurbaan karne ke liye hamesha aamada rahe.
Aashura hame is haqiqat ki yaad dilati hai ki
rasoomi matam / azadari asl Islam nahi hai balki asl Islam wo chupa hua Islam
hai jisne Shahadat ki laal chadar odhi hui hai.
Azadari ko chuno, Islam ke musalsal tarikhi
jaddo jahad ko jaari rakhne ke liye jo khilaaf hai ghasibo ke, jo khilaaf hai
bewafai ke, jo khilaaf hai zulm aur barbariyat ke, jo khilaaf hai dhoka, jhoot ke
mambe ke. Azadari chuno, bilkhusoos Shohodao ki yaad zinda rakhne ke liye.
Tehrir: Abbas Hindi
0 comments:
Post a Comment