13 Dec 2016

Qaum ki halat: Media se qareeb - Olema se Dur

Har qaum ka future is baat par depend karta hai ki samaj ke logo ki sochne ki taqat kaisi hai. Kya woh log sahi direction me samajh rahe hai? Kya log sahi chiz soch rahe hai? Kya log constructive chize soch rahe hai ya ladai jhagde me lage hue hai? Agar soch destructive hai to qaum ka future dark rahega aur aage badhne ki jagah qaum piche ki taraf jaaegi. Lekin agar qaum ke log sahi direction me soch rahe hai to future roshan rahega aur aane wali nasl duniyavi aur manavi tarraqi karegi.

Aaiye hum aaj Hindustan me apne halaat par dhyan de. 

Hindustan ek aisi jagah hai jahan par har qism ki fikr ke log rehte hai aur naujawan apni zindagi me tarah tarah ke logo se milte hai; jinme zyadatar Non Muslims rehte hai. Hindustan me media apni puri taqat laga kar kaam kar raha hai. Behudgi aur uryaniyat (Nudity) aaj apne urooj par hai. Na jaante hue bhi Logo ko aisi aisi chize sikhai ja rahi hai jo hum kabhi sikhna nahi chahte. Aise me naujawan apne aap ko kaise sambhale ye ek bada sawaal ban gaya hai.

Ek mazhabi naujawan ko apne aap par kabu rakhte hue sidhe raah par baqi rehna kuch had tak mumkin hai; lekin agar koi naujawan deen se dur hai to uske liye gunah ka maidaan puri tarah khula hai.

Deendaar banne ke liye humare paas Ahlebait (a) ki batai hui ek nemat hai jise hum Majlis kehte hai; jisme humare mohtaram olema-e-kiram mimbar par ja kar hume sahi tariqe se zindagi jeene ka rasta batate hai.

Kuch zakerin ne mimbaro ka sauda is chiz se kar liya ki logo ko zarurat ki chize naa bata kar unki waah waahi hasil kare jiske badle me unhe muh mangi rakam milti hai. Lekin kuch Olema ne apna deeni fariza samajhte hue qaum tak uske faraiz aur kaam ko pahuchna zaruri samjha aur deen ki asl mane me nusrat ki.

Lekin pichle dino Khoja Jamat, Mumbai ke us faisle ne jisme jamat ne bina kuch soche samjhe apne zaati faaede ke liye char (4) aham tareen olema-e-Hindustan par pabandi laga di; isse qaum aur khususan naujawano ka bahot bhari nuksaan hua.

Yaad rahe, yeh wohi Olema hai jo naujawano ko zarurat ke mutabiq training, tarbiyat aur content provide karte the. Naa ki jamat ke trustees aur stake holders ke aage piche ghumte the.

Aaj ke daur me jab naujawan waise hi olemao se bahot dur hai is tarah ki pabandi lana apne aap me ek afsosnaak amal hai. Jamat ko chahiye ki apni aakhe khol kar dekhe aur naujawano ke haq ko samajhte hue aisa mahol banae jisse naujawan olemao se nazdik ho; naa ki khud olema par hi pabandi laga di jaae.

Tehrir: Abbas Hindi

0 comments:

Post a Comment

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments