"Qaumi Halaat" ki pehel jisme "Shia People's Party" ki deeni haisiyat aur Qaum ka naame le kar raajneti karne ke parda fash karne ke jawab me Political Party ke Sadr ke dhada-dhad do teen poster messages aa gae, jin me Sadr sahab ne kahi challenge diya aur kahi gali galoch par utar aae.
Shia Qaum ka aqdar raha hai ki wo kabhi apni Akhlaqi boundaries cross nahi karti. Agar opposition wala na-zeba alfaz istemal kare ya hata-paai par utar aae, phir bhi Akhlaq ki had me rehna Aaimmah (a) se hamne sikha hai. Jung us waqt tak lazmi nahi jab tak dushman deen par hamla na kar de aur ye jung aaj ke ghaibat e Imam (a) ke zamane me mujtahid ki ijazat ke bagair jayaz nahi.
Sadr sahab ko ye samajhna chahiye ki gali galoch karna aur awaam ke logo par ochi aur gandi galiya dena aur qaum ki namus (aurto) tak ko nahi chhodna, ye sahi tariqa nahi hai.
Sawal ye uthta hai ki Sadr sahab apne upar uthae gae sawalo se itna pareshan kyu hai?
Kaam par sawal uthae jaane walo se pareshan hone ka matlab hai aap ka kaam mazboot nahi hai. Aap khud hi is sawal ka jawaab dijiye:
- Kya paise le kar Qaum ke logo ke liye Railway ki ticket book karna sabse aham kaam baqi rah gaya hai?
- Kai saalo se momenin har saal 15 Shaban ko "Gateway of India" par ja kar nazr ka ehtemam karte hai; Siyasi taur par us jalse ko apne naam par le lena qaum ka kaam hai?
Ye aam faham ki baat hai ki jo Sadr sahab Siyasi Partiyo ke photos Shia Qaum ke naam ke saath dhadalle ke saath lagate firte hai; kya wo deen ke dard ke saath kaam kar rahe hai ya siyasi faaeda uthane ke liye kaam kar rahe hai? Waise dilo ke raaz ka ilm sirf Allah (SWT) ko hi hai.
- Kisne Sadr sahab ko haq diya hai ki Qaum ka naam istemaal kar ke Siyasi partiyo ki himayat kare?
- Kya sadr sahab ne Shia qaum se is baat ki ijazat li hai?
- Kya Shia Olema Sadr sahab ke is faisle ke saath hai? Kya Shia Qaum ke bade idaare is baat se razi hai ki jis shaks ne 1991 ke dango me Musalmano ko shadeed nuksan pahuchaya tha, jisme Shia Qaum ke bhi ghar jale the aur bahot nuksan hua tha, uska photo Shia Qaum ke naam ke saath lagae jaane par unhe koi aapatti nahi hai?
Sadr sahab! Baat samjhiye. Koi aap ka mukhalif nahi hoga agar aap:
- Qaum ke logo, idaro aur Olemao ki taeed hasil kare
- Hasil ki hui taeed ko Siyasi mafaad ke liye istemaal na kare
- Kisi khas party aur sanghatan ki khul kar taeed na kare
- Kisi vyakti vishesh ki photo Shia Qaum ke banner tale na lagae
- Qaum ke liye development ka kaam kare
- Qaum me education upliftment ka kaam kare
- Qaum ke logo ke liye Railway tickets ka arrangement kare
- Qaum ke logo ke bich ekjahti aur ittehad qayam kare
Lekin yaad rakhiye! agar aap in me se sab kaam karne ke saath saath Siyasi Partiyo ki chatugiri karte rahege aur sawaal uthane walo ko khuli aam gandi gandi galiya dete rahege to Aap ek Shia hone ka haq ada nahi kar rahe hai.
Tehrir: Abbas Hindi
0 comments:
Post a Comment