Imam Ali (as), k jinhone jung e Siffeen k maidan me dushman ki eit baja dee thi unhe khawaarij ideology ne peeche hatne per majboor kar diya aur yehi ideology unke qatl ka b sabab bani.
Khwaarij ideology dushman se zyada nuksaan deh hai.
Jo kaam dushman na kar saka (Imam Ali (a) ka qatl) wo is ideology k maanne waalo k zariye hua.
Khwaarij wo tola tha jo na muaviya ko sahi maanta tha na Maula Ali (a) ko.
Khawaarij muaviya k bhi dushman the aur Ali (a) k bhi, unhe to bas apni tilawat o munajaat per fakhr tha aur kehte k ye dono galat aur hum sahi aur humme se har ek qaari e Quran hai yaani deen hume in dono (muawiya aur Ali a.) se behtar pata hai.
Ye ajeeb ideology aaj humaare muashre me b maujood hai.
Jo dushman k kaam ko asaan kar deti hai hatta dushman se zyada khatarnaak saabit hoti hai.
Hum me aise bohot log mil jaenge jinka ye nazariya hai k maraje ki mukhalifat Karne waale b galat aur maraje ki pairwi karne waale b galat aur hum hi hai jo deen ka behtareen ilm rakhne waale hai.
Inko chahiye k fursat se dono ki taalimaat ko dekhe padhe aur samjhe k kaunsi raah Hukumat e Imam Mahdi (atfs) se qareeb hai. Khawaarijo ki tarah confuse hokar Ali se jung karke muawiya ko support na kare.
Khudaya hume haq o baatil ki pehchaan karne ki taufeeq ataa farma.
0 comments:
Post a Comment