Imambargaahe aur Azadari ke markaz sune reh gae aur Momeneen ke dil tute hue apne Maula (a) ke masaeb par akele me rone par majboor hue. Ba-Khuda, ye Muharram hamesha yaad rahega aur Azadarane Syyad-ush-Shohoda (a) puri koshish karenge ki aaj se jitna ho sake apne Maula (a) ki azadari har tarah, har haal me ittefaq aur aapsi bhaichare ke saath mil kar pure josh-o-kharosh se aur zyada taqat o quwat ke saath karenge.
Bombay High Court ne 5 logo ko symbolic tarike se "Taziya" nikaalne ki ijazat de di aur "Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko ye "Taziya" le jaane ki zimmedari saupi aur saath ye bhi kaha ki Maharashtra ke tamam Muhibbe Imam Hussain (a) ki taraf se Aashura 2020 me sirf ek "Taziya" nikala jaaega.
Isme koi shak nahi ki "Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ke liye ye fakhr ke saath saath zimmedari ka bhi maqam tha. Zimmedari is baat ki ke wo is baat ka khyal karte ki Taziya is tarah se nikaale ki is sirf Mumbai ke Shio ke jazbaat ka khyal na rakhte hue saare Maharashtra ke har us shkas ka bhi khyal rahe jise Imam Hussain (a) se Muhabbat hai.
Maharashtra me sirf Shia hazraat Muharram ka juloos nahi nikaalte, Aashur ke din Shia ke saath Sunni, Hindu, Buddhist aur digar mazhab ke manne wale bhi Imam Hussain (a) ki yaad manate hue "Taziya" nikaalte hai. Maharashtra me bahot si Shia jamate bhi hai jo aaj bhi "Taziya" nikaalte hai. Aashur ka "Taziya" itna mashhoor hai ki Bombay High Court ne "Taziya" nikaalne ki ijazat di, na ki "Taboot".
"Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko "Taziye" se kya pareshani thi wo to unke arakeen ko hi pata hoga lekin "Taziya" sirf Shia nishani nahi balki saare insano me "Imam Hussain (a)" se jise bhi ulfat hai wo "Taziye" ko dekh kar Karbala ke Haram e Imam Hussain (a) ko yaad karta hai wo apne dil me girya karta hai.
"Idare" ne "Taziye" ki jagah "Taboot" nikaal kar na sirf Maharashtra ke Muhibbe Imam Hussain (a) ke armaano ko thes pahuchaai hai balki Bombay High Court ke order ki bhi mukhalifat ki hai jisme saaf likha hai ki "Taziya" nikalne ki ijazat hai.
Isi ke saath jis truck par "Taboot" nikla gaya us ke saamne likha gaya tha "Maqsad-e-Karbala, Aliyun Waliyullah" jo sirf "Idaara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ki soch hai, Imam Hussain (a) ummat ki Islaah ke liye qayam kiya tha.
Isi ke saath jis truck par Taboot nikala gaya, kyu ek bhi Aalim-e-Deen ko saath me nahi rakha gaya? Jabke is saal Mumbai me lagbhag saare Olema maujood the?
"Taziya" nikaalne ki ijazat milne ke baad "Idare" ki zimmedari itni badi thi ki wo saare insaano ke jazbaat ka khyal karte hue Imam Hussain (a) ki Shahadat ki munasibat par saare Muhibbe Imam Hussain (a) ki niyabat me Aashur ka "Taziya" nikaalte, lekin afsoos itni badi zimmedari ko "Idara-e-Tahaffuz-e-Husainiyat" ne sirf apne "Idare" ke zaati faaede ko dhyan me rakh kar har kaam kiya.
"Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko iska jawaab Janabe Fatima (sa) ko dena hoga aur Allah is zimmedari ko sahi se pura nahi karne par "Idaare" ke arakeen se sakht puch karega. Isi ke saath "Idaare" ke arakeen Muhhibe Hussain (a) ke bhi hamesha jawabdeh rahenge.