Showing posts with label #Letter4u. Show all posts
Showing posts with label #Letter4u. Show all posts

22 Jan 2015

Ayatullah Khamenei ka Jawano ko paigham (Hindi me)

Ayatullah Syed Ali Khamenei (DA), Islamic Republic Iran ke Rehbar, ka paigham

Shuru Allah ke naam se, jo bada Meharbaan aur Nihayat Raham karne wala hai.

Ye paigham un jawano ke liye hai jo Europe aur America me rehte hai. Aaj ki tarikh me ho rahe waqeaat, khas taur par France me aur kuch digar maghribi mulko ke hadesaat ne mujhe is baat par aamada kiya ki mai aap logo se sidhe baat karu. Aaj mai sidhe jawano se mukhatib hu, iska ye matlab nahi ki mai aapke waledain ko nazarandaaz kar raha hu, balki isliye ki aapke mulk ka mustaqbil (Future) aapke haatho me hai; aur isliye bhi ki mai aap ke dilo me sachchai ko paane ki lagan aur tadap dekhta hu.

Is paigham me mai aapke siyasi leaderan aur mulk ke bashindo ko mukhatib nahi kar raha is liye ki mujhe yaqin hai ke un logo ne jaan bujh kar siyasat ke raaste ko haq aur sachchai ki raah se alag kar rakha hai.

Mai aap se Islam ke baare me baat karna chahta hu, us islam ki jiske bigdi hui tasweer aap logo ke samne pesh ki ja rahi hai. Soviet Russia ke tutne ke baad se (1989) se abhi tak, pichle do sadiyo me, bahot si aisi koshishe ki gai hai jisme Islam ko ek khatarnaak dushman bataya gaya hai. Haala ki maghrib (West) jab khud apni shakl ki taraf nazar kare to wo haqiqi darawni aur nafrat bhari hai, aur iske saath hi un logo ki wehshiyana kartut ki fehrist kai guna lambi hai.

Yaha mai un sab khauf ka zikr nahi karna chahta jisse maghribi mulko (Western Countries) ne duniya ko dara kar rakha hai. Agar haal ki tarikh par ek sarsari nazar daali jaae to ye baat saaf zahir hoti hai ki in Maghribi Mulko ne apne munafiq andaaz (Hypocrisy) se tarikh ki kitabo ko apne zulm se paak karne ki nakaam koshishe ki hai.

America aur Europe ki tarikh sharmsaar hai apne kabhi na maaf hone wale gunaho se.. insaano ko ghulam banane se le kar, mulko par ghasibana kabze se le kar, rang aur bhasha (Zaban) ke mudde se le kar, Masihi (Christan) - Ghair Masihi (Non-Christan) tashaddud ko mudda bana kar jo zulm duniya me kiya hai uski misaal tarikh me nahi milti.

Aap ke tarikhdaan aur researchers haqiqi taur par sharminda hai ki Catholics aur Protestants ke bich ki khoon aalud mazhabi jang inhi maghribi mulko ne karai thi, kai mulko ke bich aur naslo ke bich ki jang bhi inhi Maghribi Mulko ki shamnaak kartut ka natija hai, jiski misaal hame pehli aur dusri jange azeem (First & Second World War) ki shakl me dkehne milti hai. Tarikh ka Ye nuqta qabile ghaur hai.

Is paigham me mai puri tarikh nahi bayan karna chahta, balki tarikh ki halki si jhalak dikha kar aap ke daanishwaro aur aqalmando se sawal karta hu ki itni sadiyo baad achanak maghribi awaam kaise hosh me aa gai? Kya wajah hai ke pehle ki tarikh ke aham waqeaat ko kam ahmiyat de kar jadidtarikh par itna zor diya ja raha hai? Kya wajah hai ki Islami muashre, values aur culture ko failane par rok lagai ja rahi hai?

Aap log bahot achchi tarah se waqif hai ki Beizzati karna, awaam me dushmani failana aur kisi ka beja khauf logo ke dilo me daalna, zalimeen ka pesha raha hai. Aaj mai aap se sawal karna chahta hu ke:

- kyu zalimo ki purani policy jisse wo logo ke dilo me khauf daalte the aur dushmani failate the, aaj Islam aur Muslim par aazmai ja rahi hai?
- Aisa kyu dekhne me aa raha hai ki Aaj duniya ka samraji nizaam Islami fikr ko kinarakash kar ke use khamosh bana dena chahta hai?
- Islam me aise kaun si fikr aur aqdaar hai jisse samraji nizaam ko khatra lahaq hai aur Islam ki shakl ko bigaadne me inke kaun se mafadaat chipe hue hai?

In sab sawalo ke saath meri aap se pehli guzarish hai ki: Aap khud apni padhai aur research kariye aur is baat ka pata lagaiye ki Islam ki shakl bigadne ke piche kya mansube chipe hue hai.

Meri dusri guzarish ye hai ki aaj ke galat aur afwah aamez duar me jitna ho sake utna sidhe mambe se (Source se) ilm hasil karne ki koshish kariye. Sahi tariqa yehi hai ki jis baat se wo aap ko dara rahe hai aur dur le jana chahte hai, uske baare me haqiqi ilm aapke paas aa jae.

Mai aap se aslan ye nahi keh raha hu ke aap meri kitabe padho ya Islam ki aur koi kitaab ya articles padho. Asl me mai aapse ye kehne ki koshish kar raha hu ki zamane ki is azeem haqiqat, "Islam" ko kisi aise raste ke zariye mat samjhiye jaha se galat aur afwah aamez chize aa rahi hai.

Islam ko Maghribi Mulko ke banae hue aatankwadiyo ke zariye mat samjhiye balki aap asli mambe (Sources) ki taraf ruju kare. Aap se ye guzarish hai ki aap Islam ki jaankari uske haqiqi mambe (Original Sources) se hasil kare. Aur ye mambe hai Quraan aur Rasul (s) ki zindagi.

Mai aap se khul ke ek sawal karna chahta hu ke
- kya aapne kabhi Musalmano ki kitaab Quraan ko khud padha hai?
- Kya aapne Islam ke paighambar Muhammed (s) ki zindagi, unki hiqayaat aur akhlaqi zindagi ko dekha hai?
- Kya aapne kabhi Islam ko media ko chhod kar kisi aur source se lene ki koshish ki hai?
- Kya aapne apne aap se kabhi ye sawaal kiya hai ki kis bina par Islam duniya ke sabse bade civilized muashere ko wujud me la saka?
- kya wajah hai ke itne sienci (Scientific) tajrube Islam ki den hai?
- Aur kya wajah hai ki Islam ne kitne hi science daan aur daanishwar duniya ko diye hai?

Mai ye bilkul nahi chahta ki ye failai hui galat chize aur afwaahe aap logo se aapki sochne ki taqat chin le aur aap usi chiz par bharosa kare jo media aap ko sochne par majboor kar raha hai. Iski wajah se aap ke aur duniya ki ek sabse badi haqiqat "Islam" ke bich me ek khala (gap) paida ho sakti hai.

Aaj scienci aur communication technology ne duniya ki sarhado ko lagbhag khatm kar diya hai. Isliye aaj zarurat hai ki aap apne aapko unki (West aur media ki) banai hui masnui duniya se aazad kare jo aap ke dilo dimaag ko apne kabu me rakhne ki koshish kar rahi hai.

Ye baat bhi haqiqat hai ki jo khala (gap) ijaad ho chuki hai use ek insaan akele nahi bhar sakta, ye aap sab ka kaam hai ki aap is khala (gap) ke upar ek baseerati pul banae jiski buniyaad aapke sochne ki taqat aur khula zahan ho jo aapko is khala (gap) se bahar nikal kar haqiqi roshni se mil de. Jiski bina par aap apne aap ko aur apne atraaf ko haqiqi roshani ki taraf badhta hua mehsus karege.

Ye bhi kaha ja sakta hai ki Jawano aur Islam ke bich ka ye khayali jhagda sahi nahi hai, lekin sachhai ki talash ki is justaju aur mehnat ki wajah se aapke bechain zahno ko zarur apne sawalo ke jawaab milege. In sawalo ke jawabaat ko dhundte waqt aapko zarur kai aur haqiqato ke bhi jawaabat mil jaege.

Isliye mai aap sab ko dawat deta hu ki aap is mohlat ko haath se na jaane de jisme aapko haqiqi, satik aur paak Islam ki jaankari hasil ho sakti hai. Umeed hai ki hamari sanjidgi aur haq ki talash hame us marhale par pahuchaegi jaha aage aane wali nasle, Islam aur naujawano ke bich is mulaqat ko saaf, shaffaf aur sunahare alfaaz me likhegi.

Syed Ali Khamenei

Ayatullah Khamenei ka Jawano ko paigham (Hindi me) Ayatullah Khamenei ka Jawano ko paigham (Hindi me)

Ayatullah Syed Ali Khamenei (DA), Islamic Republic Iran ke Rehbar, ka paigham Shuru Allah ke naam se, jo bada Meharbaan aur Nihayat Ra...

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments