Jis din se BJP ki sarkar ka dusra session shuru hua hai, ummat e Muslima par jaise pareshaniyo ke pahad tod diye gae hai. Ek ke baad ek, nae nae bills pass karwa kar Ummat par apni jakad mazboot ki ja rahi hai.
Isme aisa kahi nahi hai ki ye musibat kisi ek firke par padh rahi hai, balki isme har wo insan ko pakda ja raha hai jo Musalman ho. Phir wo Kashmir me rehne wale ho jinhe Article 370 aur 35A ko abrogate kar ke pareshan kiya gaya, ya phir hindustan me rehne wala aam Musalman jise NRC ke chalte apne aaba o ajdad se rishta sabit karne ko kaha gaya.
Kuch log isme bhi sectarian point talash kar ke Shia, Bohri aur Sunni ka rang dene par tule hue hai aur chahte hai ki sirf unka firka bach jaae aur bakiya apne hisab se manage kare, jo ki is waqt me bilkul galat raahe hal hai.
Ummat e Muslima ko is mauqe ko ek opportunity ke taur par dekhna chahiye. Waise ye sab par zahir hai ki 15 karod Musalmano agar ek ho jaar to koi inhe pareshan nahi kar sakta lekin Ummat ko sirf Musalmano ki nahi balki humare pyare mulk Hindistan ke baare me sochna zaruri hai.
CAB (CAA) aur NRC laagu hone se sirf Musalman ka nuksan nahi balki saare Hindustaniyo ka nuksan hoga, jisme apne documents arrange karne se le kar detention center me daale jaane tak ka dar hai. Iske saath saath long run me Indian constitution par jo zarb lagegi wo kai saalo tak nahi durust ki jaa sakegi.
Isliye is unconstitutional law ke khilaaf muzahira karna har Musalman ka fairza hai. Aur is baat ko dusre gair Muslim bhaiyo aur behno tak pahuchana zaruri hai ki kaise ye sirf hame bhi nahi balki unke liye bhi khatarnaak sabit ho sakta hai.
Ek taraf jaha is qanun ke khilaaf awaaz uthane ki zarurat hai, wahi dusri taraf jo zaruri dastavez hame apne aap ko Indian Citizen batane ke liye zaruri hai usko jama karna aur mazboot karna bhi zaruri hai. Ye kisi ek fard ka kaam nahi hai balki har kisi ka kaam hai ki wo ek dusre ki madad kare aur jis tarah mumkin ho sabke dastavez mukammal kare.
Ye sirf isliye nahi hai ki hume BJP ki policies se dar lag raha hai balki dastavez ka mukammal hona humara bhi zaruri fariza hai.
Ummat ke zimmedaran ka fariza hai ki sabhi logo ke saath achcha taalmel banakar ek centralized database tayyar kare aur logo ki details ek mehfuz jagah par jama kar ke is azeem zakhire ko achchi tarah se istemaal kare.
Waise Ummat me bahot si baato par ikhtelaaf hai lekin aaj aisa waqt aa gaya hai ki hame saath milkar ladhne ki zyada zarurat hai.
Is mauke ka fayeda uthate hue saath aae... Haath me haath daalkar kaam kare aur apna deeni, samaji aur hindustani hone ka fariza anjaam de.