Buzurgo ke haatho bani humari choti si masjid,
Jisme aaj ke daur ki aashaish to nahi thi,
Haan, magar chain sukun zarur tha.
Jamat ke bade budhe aur bachche aa kar,
Yaha muhabbat ke sath Namaz aur Majlis kiya karte the.
Haae! Is pyari Masjid ko kiski nazar lag gai?
Is gandi duniya ke sarwatmand,
ise apni ghinauni siyasat ka markaz kyu banane lage?
Kal tak jinhe Masjid, Namaz aur Azadari se koi sarokar na tha,
Aaj in sab ka naam le kar, Bibi Fatema (sa) ki khidmat ki guhar lagane lage.
Inse zara pucho; kya hoti hai deen ki khidmat?
Kya yehi deen ki khidmat hai ki,
Jamat ki siyasat me Bibi (sa) ka naam le
Aur apne bachcho ki shadiyon me naach gana kare?
Zaati zindagi me Deen ka namo nishan na ho,
Lekin elections ke waqt barabar se Azadari ki baat kare.
Kya yehi deen ki khidmat hai?
Meri pyari Masjid aur muhabbat wali Jamat ko kya ho gaya?
Ab yahan rishtedariyan nahi chalti,
Chalta hai to sirf,
Rangeele VP ke zariye diya gaya Karze Hasana.
Ab yaha Olema ki izzat nahi hoti,
Laagu hoti hai Olema par pabandi.
Chand rupyo ke chande ki khatir,
Meri pyari Masjid me Majlis rok di jati hai.
Kaha jata hai kahin Rangeela VP naraz na ho jaae.
Ab Bibi Fatema (sa) yaad nahi aati
Na yaad aata hai Olema ka waqar
Aur na deen, aur na shariat!
Haae! Ye meri pyari Masjid ko kya ho gaya?
Ab yahan deen nahi Siyasat chalne lagi..
Deen ka to sirf naam reh gaya,
Jo chanda mangne ke kaam aata hai.
Ae Khuda! Meri pyari Masjid mujhe wapas de de,
Nahi chahiye mujhe AC, Lift aur Italian Marble
Mujhe to bas Sukun wali jagah chahiye
Jahan Muhabbat aur Bhai chare se sab log mile!