Showing posts with label Imam Ali. Show all posts
Showing posts with label Imam Ali. Show all posts

27 Sept 2018

Shia aur Shi'at

Do lafz "Shia" aur "Shi'at" sunne me to ek jaise hi lagte hai lekin dono me zameen aasmaan ka farq hai.

Aaj ke zamane me ek taraf Shia use kehte hai jo kisi Shia ke ghar me paida hua aur apni zindagi me Shia rasmo riwaj pure karta hai, phir wo samajh ke kare ya baghair samjhe.

Wahi dusri taraf "Shi'at" ek maktab / institution/  fikr / Soch ka naam hai jiske liye kisi ko Shia ke ghar me paida hone ki zarurat nahi, rasmo riwaj pure karna wajib nahi balki Shi'at ke batae hue usoolo ko apne zindagi me utarna zyada zaruri hai.

Shi'at ka Sabse bada usool hai Zulm ke samne khada hona aur Mazloom ki himayat karna. Yehi baat Imam Ali (a) ne apni Wasiyat me kahi aur isi usool ko samne rakh kar Imam Hussain (a) ne Karbala me qayam kiya tha.

Kisi Shaaer ne bahot khoob kaha hai:

Suno sadae Karbala, Hussain ki zuban se!

Ye tauqe Jabr tod do sitam ke waar mat saho
Humara saath do na do, Ghulam ban ke mat jiyo.

Agar hum Shia ke ghar me bhi paida hue hai aur saare Rasmo Riwaj bhi ada kar rahe hai lekin Shi'at ke usool humari zindagi me nahi hai to hume sochna padega ki hum sahi hai ya nahi.

17 Jun 2017

Khawarij ideology ne Imam ALI (as) ki jaan li

Imam Ali (as),  k jinhone jung e Siffeen k maidan me dushman ki eit baja dee thi unhe khawaarij ideology ne peeche hatne per majboor kar diya aur yehi ideology unke qatl ka b sabab bani.

Khwaarij ideology dushman se zyada nuksaan deh hai.

Jo kaam dushman na kar saka (Imam Ali (a) ka qatl) wo is ideology k maanne waalo k zariye hua.

Khwaarij wo tola tha jo na muaviya ko sahi maanta tha na Maula Ali (a) ko.

Khawaarij muaviya k bhi dushman the aur Ali (a) k bhi, unhe to bas apni tilawat o munajaat per fakhr tha aur kehte k ye dono galat aur hum sahi aur humme se har ek qaari e Quran hai yaani deen hume in dono (muawiya aur Ali a.) se behtar pata hai.

Ye ajeeb ideology aaj humaare muashre me b maujood hai.

Jo dushman k kaam ko asaan kar deti hai hatta dushman se zyada khatarnaak saabit hoti hai.

Hum me aise bohot log mil jaenge jinka ye nazariya hai k maraje ki mukhalifat Karne waale b galat aur maraje ki pairwi karne waale b galat aur hum hi hai jo deen ka behtareen ilm rakhne waale hai.

Inko chahiye k fursat se dono ki taalimaat ko dekhe padhe aur samjhe k kaunsi raah Hukumat e Imam Mahdi (atfs) se qareeb hai. Khawaarijo ki tarah confuse hokar Ali se jung karke muawiya ko support na kare.

Khudaya hume haq o baatil ki pehchaan karne ki taufeeq ataa farma.

16 Jun 2017

Kya Ali aaj bhi tanha hai?

1400 baras beet gae..
Kya Ali aaj bhi tanha hai?

Dushman raahe Ali (a) me mushkilaat paida kar raha tha; lekin duniya wale Ali (a) ko madad karne ki jagah Ali (a) par shak karne me lage the.

Ali (a) akele tanha the.

Ali (a) ki apne Dushmano se jo jang thi,
wo sachchai aur haq ki jang thi, batil ke muqable me. Duniya walo ne haq par apni khwahishon ko zyada tarjeeh di aur Ali par shak kiya.

Ali akele tanha the.

Dushmano ne Ali (a) ke muqable me har fard ko jama kiya. Ya to Ali (a) se ladne ke liye ya to Ali (a) se dur rehne ke liye. Haq saaf nazar aa raha tha.. lekin duniya parasto ne Haq ko nahi pehchana aur Ali (a) ko akele chhod diya.

Ali (a) akele tanha the.

Kya aaj ham nahi dekh rahe.. duniya wale phir se giroh dar giroh jamat bandi kar rahe hai. Ali (a) ke chahne wale bande jiska naam bhi Ali (Syed Ali Khamenei) hai uske khilaaf safbandi ho rahi hai lekin phir bhi duniya parast log is Ali par bhi shak kar rahe hai aur ise Dushman ke saamne tanha chhod kar bhag rahe hai.

Kya Ali aaj bhi tanha hai?

Waqt sabhi bhagne walo se sawaal kar raha hai.

Waqt un logo ko bhagne walo ke saamne namuna aur misaal bana kar saamne rakh raha hai jinhone Ali (a) ka saath diya aur apni jaane Ali (a) ke saath milkar Dushman ke khilaaf ladte hue qurbaan kar di aur shaheed ho gae.

Unka naam aaj bhi zinda hai aur Allah ne unhe azeem maqam ata farmaya.

Jin logo ne apni jaan bachai aur Ali (a) ko tanha chhod diya.. wo zaleel hue aur waqt ne unse har tarha ki nemat chhin li.

Ali (a) ko tanha chhodne wale kamyaab nahi hue.

Lekin phir bhi Ali aaj bhi tanha hai.

Aaj hamare saamne waqt phir se khada hai. Ali (a) ka chahne wala Syed Ali Khamenei Dushmano se lad raha hai aur akela khada hai. Hamare saamne wale us par lanat malamat kar rahe hai. Hum kya kar rahe hai?

Kya Ali aaj tanha hai?

Hamare hote hue Ali tanha nahi reh sakte.. apni awaaz buland kare aur har tarah se apne zamane ke Ali ka saath de aur sabit kare...

HAM KUFE WALE NAHI HAI
ALI AAJ TANHA NAHI HAI.

4 Oct 2015

Eid-e-Ghadeer kya hai?


18 Zilhajj ki tarikh aate hi “Eid-e-Ghadeer Mubarak” ke messages What’s App par aane lagte hai; lekin in messages me Eid ke baare me kam aur kisi dusri qaum / biradari par tanz / taunts zyada nazar aate hai. Kya Eid-e-Ghadeer ki yahi haqiqat hai ki hum dusro par apne badhawe ko sabit kare ya dusro ko jahannumi bata kar un par tanz kase. Kya yehi Ghadeer ki haqiqat hai?
 
Isi sawal ke jawab me jab maine Ghadeer ke roz ke Rasule Akram (s) ke khutbe par nazar ki to aisa kuch nahi mila jisme Huzur (s) ne dusro par tanz kasa ho ya kisi qaum ki mazaq udai ho. Balki iske ulat Rasulekhuda (s) ke dil ke andar ka logo ka pyar nazar aaya jiski wajah se Rasul (s) kisi bhi chiz ki parwaah kiye baghair Allah (swt) ka paigham logo tak pahuchane me jaldi kari taaki logo ko raahe haq mil jaae.

Apni zindagi me aur Ghadeer me elaan-e-Wilayat ke baad Rasul (s) ne dasiyo dafa Imam Ali (a) ki apne Wali aur Janashin ke taur par pehchan karai. Is pehchan ke piche ki sabse badi wajah ye thi ki logo ko Haq ke raaste ki pehchan ho sake aur unki rehlat ke baad log is raah ko chod kar batil ki raah na apna le.

Raahe Haq se kya muraad hai?

Kya ye kafi hai ki koi shaks ye elan kare ki wo Imam Ali (a) ko Rasule Akram (s) ka Wali manta hai aur unke baad 11 Imamo ki Imamat ka iqrar karta hai, to wo kamiyaab hoga aur Jannat ka haqdaar hoga? Kya Raahe Haq ye hai ki apne aap ko logo se bada sabit karo aur dusro ko nicha dikha kar unpar tanz kaso? Kya Raahe haq ye hai ki tanziya shair-o-shairi ko deen sabit kar ke us par sawal uthane wale ko jahannumi aur Haram ki aulad sabit karo? Agar yehi Raahe Haq hai to phir seerat-e-Aaimma (a) in sab se khali kyu nazar aati hai?

Ghadeer me Rasulekhuda (s) ne kya kiya tha aur kis ke hukm par kiya tha?

Apne aakhri Hajj se wapas aate waqt Rasulekhuda (s) par wahi nazil hui:

يَا أَيُّهَا الرَّسُولُ بَلِّغْ مَا أُنزِلَ إِلَيْكَ مِن رَّبِّكَ ۖ وَإِن لَّمْ تَفْعَلْ فَمَا بَلَّغْتَ رِسَالَتَهُ ۚ وَاللَّـهُ يَعْصِمُكَ مِنَ النَّاسِ (5:67)

“Ae Rasul (s); jo hukm tumhare parwardigar ki taraf se tum par naazil kiya gaya hai use pahucha do aur agar tumne aisa naa kiya to (samajh lo ki) tumne uska koi paigham hi nahi pahuchaya  aur (tum daro nahi) khuda tumko logo ke shar se mehfuz rakhega (5:67)

Is aayat ka waqte nuzul ek maidaan ke qareeb tha jiska naam Ghadeere khum tha. Rasulekhuda (s) ne apne sabhi sahabiyo ko us jagah jama kar ke Khuda ka diya hua paigham un tak pahuchaya aur kaha ki ye paigham ek amanat hai aur har ek par zimmedari hai ki ye paigham zyada se zyada logo tak pahuchao.

Aelaan e Wilayat ke saath saath Tabligh-e-Wilayat Ghadeer ka sabse bada fariza hai jo Allah (swt) ne apne Rasul (s) ke zariye ummat-e-muslima, khususan jo Ghadeer ko mante hai unhe diya hai. Hum apne aap se sawaal kare; 

  • kya hum ye fariza sahi tariqe se anjaam de rahe hai? 
  • Kya dusro par tanz kasna tableegh hai? 
  • Kya kisi dusre mazhab-o-maslak ke taqaddusaat ka mazaq udana Ghadeer ke deen ka hissa hai?

Jab maine Roze Eid  Ghadeer ek mehfil me ek Shia bhai se sawal kiya ki Eid-e-Ghadeer ki munasibat kya hai? To uska jawab tha ki aaj ke din Imam Ali (a) ko “Gaddi” mili thi. Ek aur momin bhai ne kaha ki aaj Imam Ali (a) ki “Taajposhi” ka din hai.

Sawal ye uthata hai ki kya Deen hamare nazdik koi milkiyat ya jaagir hai jipar ek baadshah ke baad dusre baadshah ki taaj poshi ki jaae ya Gaddi di jaae?

Hamari qaum ke jawano aur buzurgo ke liye Roze Ghadeer ek aisa roz hai jisme kisi milkiyat ki taajposhi ya Gaddi tabdeel ki gai hai. Jab Wilayat ke baare me pucha jaae to bhi yehi jawab milta hai ki ye Paighambar (s) ki wirasat hai.

Jab haqiqat ki taraf nazar ki jaae to Wilayat ek Ilaahi mansab hai jo Allah ki taraf se apne chuninda aur makhsus bando ko diya jata hai, jiski bina par Paighambar aur Aaimma (a) Allah ke hukm aur shariat ko muashre me nafiz karte hai.

Ghadeer ke roz Rasulekhuda (s) ne isi zimmedari ko Imam Ali (a) ko soupa tha aur kaha tha ki agar duniya aur aakhirat me kaamiyabi chahte ho to Allah ke batae hue Wilayat ke system ko apni society me nafiz karo. Ye wohi system hai jisme kisi insaan ka banaya hua constitution / nizaam nahi chalta balki Allah (swt) ke batae hue qanun ke hisaab se society ke liye rules bante hai.

In sab ki bina par Eid-e-Ghadeer badi zimmedari ka roz hai jisme hum par paigham-e-Ghadeer ko dusro tak pahuchane aur apni zindagi ko apni Society me qanune khuda nafiz karne ke liye sarf karne ka ahad karna chahiye aur iske liye koshish karni chahiye.

Beshak Eid-e-Ghadeer ka roz bahot khushi ka roz hai kyuki is roz deen kamil hua aur Allah (swt) me apni nemate hum par tamam kar di; lekin is baat se haq nahi banta ki ham dusro par tanz kase, unka mazaq udaae ya unhe Jahannumi ya napaak nasl ka qarar de.

Aaiye hum ahad kare ki Ghadeer ke paigham ko sahi tariqe se samjhege au rise dusro tak failaege.

Tahrir: Abbas Hindi

Shia aur Shi'at Shia aur Shi'at

Do lafz " Shia " aur " Shi'at " sunne me to ek jaise hi lagte hai lekin dono me zameen aasmaan ka farq hai. Aaj ke ...

Khawarij ideology ne Imam  ALI (as) ki jaan li Khawarij ideology ne Imam ALI (as) ki jaan li

Imam Ali (as),  k jinhone jung e Siffeen k maidan me dushman ki eit baja dee thi unhe khawaarij ideology ne peeche hatne per majboor kar di...

Kya Ali aaj bhi tanha hai? Kya Ali aaj bhi tanha hai?

1400 baras beet gae.. Kya Ali aaj bhi tanha hai? Dushman raahe Ali (a) me mushkilaat paida kar raha tha; lekin duniya wale Ali (a) ko mada...

Eid-e-Ghadeer kya hai? Eid-e-Ghadeer kya hai?

18 Zilhajj ki tarikh aate hi “ Eid-e-Ghadeer Mubarak ” ke messages What’s App par aane lagte hai; lekin in messages me Eid ke baare ...

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments