Rangeele VP sahab ki committee saare Hindustan bahot se reasons se mashhur hai, unme se ek hai deeni masael me beja dakhal andaazi.
Team DiVision ka kaam tha ki jamat ke logo ki pareshaniyo ko sunte aur use dur karte, lekin lagata hai baat kuch aage badh gai hai.
Hawaza e Ilmiya Qom se padhe hue Olemao par pabandi lagane ke baad apni manmaani karte hue Rangeele VP sahab ki team ne Furu e Deen me dusre number par aane wale Roze ke iftar aur sehar ke time me fer badal kar diya.
Olema hazraat ki committee ko contact kiye baghair ye deeni faisla qaum ke liye gale se utarna thoda bhari pad raha hai. Log hairan hai ki suraj to usi waqt nikal raha hai aur gurub ho raha hai, lekin iftar aur sehar ka waqt kaise badal diya gaya.
Apne qadam ko explain karte hue har baar ki tarah is baar bhi team DiVision ne what's app ka sahara kiya jisme usi Qom Muqaddas ki ek tanzeem ki research ko pesh kiya gaya jis Qom se padh kar aae Olemao par pabandiya lagai gai thi.
Qaum me batware ke dar se Olemao ne is faisle ki mukhalifat karna sahi nahi samjha.
Lekin sawal ye uthta hai ki kya us VP ki team ko, jisne apne ladke ki shadi me dance party rakhi thi, deeni mamle me dakhal dene ka itna haq hai ki Olemao se consult kiye baghair Iftar aur Sehri ke waqt me tabdeeli le aae?