Showing posts with label revolution. Show all posts
Showing posts with label revolution. Show all posts

16 Jun 2022

Kesar Baug Mumbai ka “Yaad-e-Imam-e-Rahil” ka program misle “Fath-e-Makka” raha


Itwar baroz
12 June 2022 ko Mumbai ke Keaser Baug me Imam Khomeini ki barsi ke mauke par organized kiye gae program “Yaad-e-Imam-e-Rahil” me logo ne badi tadaad me shirkat ki. Program ke shuru hone se pehle hi log apni families ke saath, khas kar apne bachcho ko liye Kesar Baug hall me jama hone lage. Logo ki tadaad itni thi ke chairs kam padne lagi aur log khade reh kar program me shareek ho rahe the.

Jis waqt bachcho ne nazm “Salam Farmahdeh” padhna shuru kiya, us waqt to jaise sailaab aa gaya tha. 200 se zyada bachcho ne nazm me hissa liya aur apne Zamane ke Imam (ATFS) ki khidmat me salaam pesh kiya. Is nazm ki videos bhi social media par bahot viral hui.

Program me Mumbai aur behruni olema ne bhi kaseer tadad me shirkat ki aur program ko mazeed taqwiyat bakhshi. Halanki kuch hi olema ne majme ko khitaab kiya lekin baaki olema shuru se aakhir tak maujood rahe aur program se apni razamandi ka saboot pesh kiya.

Kesar Baug, Mumbai ke us ilaake me maujood hai jahan qaumi markaz ke saath saath Shiat ke mukhtalif fikr ke log rehte hai. Aaj se kuch baras pehle isi jagah par Imam Khomeini (AR) ka naam lene walo ko badnaam kiya jata tha aur unhe shak ki nigaaho se dekha jata tha. Agar koi bhi Imam Khomeini ya Ayatullah Khamenei (DA) se related koi baat karta ya Majlis me un ko refer karta to un par pabandiya aaed kar di jaati.

Lekin salaam ho Imam Khomeini (AR) ki mo’jizana zaat par aur un ke laae gae Islami Inqelaab par, ke logo ke bahot chahne ke baad bhi usi jagah jaha in buzurg hastiyo ki mukhalifat ki gai, unhi ke chahne wale Mumbai ke har ghosho kinaar se apni aurto aur bachcho ke saath shamil hue aur program ko bahot kamiyaab banaya.

Jis tarah Huzur e Akram Mohammed Mustafa (S) ne Islam ko failane ke liye Makka ko chhod kar atraaf ke ilaaqo par dhyan diya aur aakhir me Makka ki taraf sirf paidal nihatte sipahiyo ke saath kooch kar ke Makka fatah kar diya, usi tarah Imam Khomeini (AR) ke laae gae Islami Inqelaab ke chahnewale Mumbai ki zameen par har jagah paida ho gae.

Imam Khomeini (AR) se jab Inqelaab ki muhim ke shuruwaati daur me pucha gaya tha ki inqelaab lane ke liye aap ke sipahi kaha hai, to us waqt unhone kaha tha ki “Wo apni maa’on ki god me pal rahe hai”, usi tarah Imam (AR) ki barsi par Mumbai ke saikdo bachcho ne “Salaam Farmandeh” ki nazm me hissa le kar ye sabit kar diya ki wo bhi Islam ki madad karne ke liye puri tarah tayyar hai.

Imam Khomeini (AR) ke Inqelaab ki ek bahot ahem khoobi ye thi ki wo inqilab ka base Allah (SWT) ki zaat aur awaam me ittehaad (Unity) tha. Inqelaab me Iran ke sabhi logo ne, chahe wo kisi bhi mazhab, maslak, fikr ya background se the, wo sabhi ne badhchad kar hissa liya tha.

Kesar Baug me Imam Khomeini (AR) ki yaad me jo program hua usme bhi qaum ke lagbhag sabhi logo ne hisaa liya. Kuch log is muqaddas program se mehrum reh gae jiski wajah unki Imam Khomeini (AR) ki zaat ke baare me kam samajh ya mis-information ya unko manne wale logo se personal issues ya akhlaqi issues ho sakte hai. Lekin samajhdar logo ka ye wazifa rehta hai ki wo achchi chizo ko dekhte hai aur personal issues ki wajah se agar koi chiz achchai tak pahuchne me aad banti hai to use dur karte hai.

InshaAllah wo waqt zarur aaega jab saari duniya Imam Khomeini (AR) ke laae hue inqelaab par ek saath jama ho jaaege aur zaalim taqato ko is duniya se mita dege.

Fathe Makka ke baad Islam ne jis tarah farogh hasil kiya tha wo misaal aaj bhi zamane ke saamne maujood hai aur InshaAllah usi tarz par aaj ke aaj ke is Fathe Makka ka asar bhi zamana zarur dekhega aur iske asaraat se bharpoor faayeda uthaega.

Abbas Hindi ki kalam se... 

9 Sept 2015

Haq aaya Batil gaya

1400 baras pehle jab Hamare Pyare Nabi (s) is duniya se rukhsat hue the, us waqt Madine ki galiyo me ek Mard aur ek Aurat ghar ghar ja kar logo ko Khuda ke ek behtarin nizaam “Wilayat” ke baare me yaad dahani kara rahe the, jiske baare me Huzur (s) ne kuch hi dino pehle apne aakhri Hajj se laut te waqt logo ko “Ghadeer” naam ki jagah par jama kar ke bataya tha, aur kaha tha ki agar duniya aur aakhirat me sarbuland rahna chahte ho to Nizaam-e-Wilayat ko mazbooti se thame rahna. Aur kaha ki “Allah tumhara Wali hai, Mai tumhara Wali hu aur mere baad Allah ki janib se Imam Ali (a) tumhare Wali hai”.

Kesar Baug Mumbai ka “Yaad-e-Imam-e-Rahil” ka program misle “Fath-e-Makka” raha Kesar Baug Mumbai ka “Yaad-e-Imam-e-Rahil” ka program misle “Fath-e-Makka” raha

Itwar baroz 12 June 2022 ko Mumbai ke Keaser Baug me Imam Khomeini ki barsi ke mauke par organized kiye gae program “ Yaad-e-Imam-e-Rahil...

Haq aaya Batil gaya Haq aaya Batil gaya

1400 baras pehle jab Hamare Pyare Nabi (s) is duniya se rukhsat hue the, us waqt Madine ki galiyo me ek Mard aur ek Aurat ghar ghar ...

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments