Ek shahar me Momenin ki badi jamat hua karti thi, jiska VP (Vice President) aur uske manne wale bhi uska hissa the.
Deeni jamat hone ke naate masjid Aur ImamBargah ko manage karna VP sahab ka kaam raha karta tha. VP sahab itne bade deendaar the ki ek meeting me unhone aur unke chelechapato ne kuch deeni olomao par tak pabandi laga di.
Ek roz VP sahab ke ghar me unke ladke ki Shadi ka program bana. Patrikae chapne lagi.. invitations jaane lage.. foreign se bhi log aane lage. Yaha tak ki foreign se unke chahite majlis padne wale youth icon orator bhi aa pahuche.
Shadi se thik ek raat pehle ek banquet hall me sangeet ka program organize kiya gaya, jisme VP sahab ke saath saath bahar ke guest bhi invited the.
Log dekh ke hairan the ki program to sahi me sangeet ka program tha.. jisme gana bajana, dance party ho rahi thi aur VP sahab bhi stage ke kinare par khade taliya bajate dikhai diye.
Khair! Program sahi se pura hua. Sabhi dosto aur rishtedaro ne apne saare arman pure kiye aur dosto rishtedaro ne party ke photos aur videos social media par post kiye.
Phir kya tha! Log sawal uthane lage. Deeni markaz ke VP sahab ke ladke ki Shadi me mix gathering ke saath dance party? VP sahab defense mode me aa kar Facebook par statement dete dikhai diye ki party ladke ke dosto ne organize ki thi, isme unka koi lena dena nahi.
Mamla tul pakad raha tha.. logo ne jamat ko condemnation letters likhe jiske jawab me ye likha hua aaya ki logo ki personal life me dakhal andazi karna gunah hai aur aise letters likh kar baat ko badhana gheebat hai aur haram hai.
Sawal ye uthte hai ki:
- kya VP sahab ko apni zaati Zindagi me deen par amal karna chahiye ki nahi?
- Apne ladke ki Shadi me dance party organize karne wale dosto ko VP sahab mana nahi kar sakte the kya?
- Jis VP ke ghar me deen nahi hai kya wo puri jamat ke naujawano ke deen ki zimmedari le kar Olema par pabandi laga sakta hai kya?
Dance party par sawal uthane walo ko gunehgaar batane wale VP sahab islam ka ek aham nuqta bhool gae jise "burai se rokna" kaha jata hai.
Jis deen par VP sahab amal kar rahe hai uske hisab se kuch aisi halat banti hai:
"Mai kuch bhi karu, tujhe kya?
Tu kuch bhi kare, mujhe kya?"
Islam iska ulat sikhata hai.. ek samaj me har momin ki zimmedari hai ke ek dusre ko neki ka hukm kare aur burai se roke.
VP sahab naa jaane kaun se islam par amal kar rahe hai.
Aaj awaam sawal puch rahi hai...
- Kya aise log deeni markaz ke VP ki position par ab bhi baqi rehne layaq hai?
- kya in jaise logo ko hum jamat ka President banana pasand karege?
Kahani dilchasp hai.. ab logo ka mood dekhna hoga!