11 Jan 2018

Waseem Rizvi aur Shia Qaum

Hindustan ke State Uttar Pradesh me aaj Bhartiya Janta Party ki hukumat hai. Isi State me Shia aabadi ka bada hissa bhi rehta hai.

UP State ki history me Shia hukumat ka ek bada daur raha hai jiska markaz Lucknow aur atraaf ke ilaqon me tha. Isi wajah se Uttar Pradesh me Shia Waqf ki bahot si properties paai jati hai.

Shia Waqf properties ki dekh rekh ke liye sarkar dwara gathit Shia Waqf Board me Chairman ki post par Syed Waseem Rizvi appointed hai. In sahab par maazi me waqf property ke saath gadbadi karne ke mamle bhi darj hai. Isi wajah se Maulana Kalbe Jawad Sahab iske khilaf sarkar ko complaint kar chuke hai, lekin Sarkar ise hatane ka naam nahi le rahi hai.

Apne ghaflo aur ghotalo ko chupane ke liye Waseem Sahab aaj kal BJP ko lubhane wale bayanat de rahe hai jisme Ram Mandir nirman me Shia Waqf Board ki taraf se bayanat ke saath saath Hindustan me Madarso par pabandi laane jaise bayanat bhi shamil hai.

In bayanat ki wajah se sirf Shia Waqf Board ka naam hi kharab nahi ho raha hai balki puri Shia Qaum par aanch aa rahi hai.

Apne zaati mafaad ke liye Waseem Rizvi puri Shia Qaum ke naam par kichad uchaal raha hai.

Iske khilaaf Shia Olema ne milkar bhi awaaz uthai hai jinme Maulana Kalbe Jawad sb, Maulana Ahmed Ali Abedi sb, Maulana Hussain Mehdi Hussaini Sb, Maulana Taqi Agha Sb, Maulana Ghulam Mohammed Mehdi sb, aur digar Olema shamil hai.

Shia Qaum ke logo se guzarish hai ki Waseem Rizvi ke bayanat ki mazammat karte rahe, agar kisi ke zehan me ye khyal aae ki ye Shia Qaum ko represent kar raha hai to use batae ki iska Qaum se koi lena dena nahi hai aur awaam Olema ke saath mil kar khadi rahe, kahi aisa na ho ki Waseem Rizvi jaise bhediye humara naam le kar logo ko bewakuf banane me kamiyab ho jaae.

Shia Qaumi Halaat Channel
t.me/QaumiHalaat

3 Dec 2017

ईद ए मिलाद की खुशियों के दिनों में भाईचारा

उमूमन यह देखा जाता है कि खुशियों के दिनों में लोग अपने आपसी गीले शिकवे भूल कर एक दूसरे से गले मिलते है और मिल जुल कर खुशियां मनाते है।

ऐसा ही कुछ हमे पूरे हिंदुस्तान में देखने को मिला जहाँ सारी शिया क़ौम अहले सुन्नत भाइयो के साथ मिल कर मिलाद ए नबीये करीम (स.) मनाती हुई दिखाई दी।

सिर्फ बड़े शहरों में ही नही बल्कि गाओ कस्बो में भी जश्न धूम धाम से मनाया गया और भाईचारे कक माहौल दिखा।

इतना ही नही, जो लोग इत्तेहाद के मुखालिफ बाते करते है उनके रहबर और मेंबर्स ने भी उम्मते मुस्लिमा को ईद की मुबारकबाद पेश करी।

महाराष्ट्र, गुजरात, उत्तर प्रदेश, तमिलनाडु, कर्नाटका जैसे राज्यो में भी शिया भाइयो ने अहले सुन्नत भाइयो के साथ मिल ककर ईद मनाई और जगह जगह शर्बत और खाने पीने का इंतज़ाम। किया।  महाराष्ट्र में ब्रम्हपुरी, राजुरा, हिंगणघाट जैसे तहसील में ईद का जश्न मनाया गया वैसे ही हैदराबद, चेन्नई, बैंगलोर और मुंबई में भी अहले शिया और अहले सुन्नत सरकार (स.) की आमद का जश्न मनाते और एक दूसरे को ईद की मुबक़राबाद देते दिखाई दिए।

इन सब के बीच कुछ फितना पसंद लोग एक नई बिदअत को ईजाद करने की नाकाम कोशिश कर रहे थे जिसे "हफ्ता ए बरा'अत" का नाम दे रहे है, जिसका मतलब होता है दुसरो से दूर होने का हफ्ता। एक तरफ जहाँ मुजताहेदीन, ओलेमा और अवाम एक दूसरे के नज़दीक आने के लिए आमादा है, वही दूसरी तरफ फितना पसंद लोग अवाम में इंतेशार फ़ैलाने की नाकाम कोशिश कर रहे है।

ओलेमा और अवाम को मिल कर ऐसे फितनापरवर लोगो का पर्दा फाश करके उम्मत को फ़ितने की आग से महफूज़ रखना चाहिए।

अल्लाह से दुआ है कि उम्मत में भाईचारा और यकजहती का माहौल बाकी रखते हुए इसे मज़बूत बनाए और हमे फितना पसंद लोगो के शर से महफूज़ रखे।

तहरीर: अब्बास हिंदी

6 Oct 2017

Azadari Ne is Qaum ko Zinda Rakha hai - Imam Khomeini (a.r.)

Humne aksar suna hai ki humari qaum ko azadari ne zinda rakha hai; jo sunne me bahot achcha aur dil ko chu lene wali baat hai.

Lekin agar ise haqiqat ki nigah se dekhe to ye samajh pana thoda mushkil dikhai deta hai.

Kuch log kahege ki hum zinda to khana khane aur pani peene se hai; azadari se kaise?

Kuch log kehte hai ki duniya me sirf humari qaum thodi hi zinda hai? Har dusri qaum is duniya me zinda hai masalan Hindu, Buddh, Isai, Sunni, wagairah.

Phir ye kaise kaha jata hai ki is Azadari ne hume zinda rakha hai?

Hume ye dekhna hoga ki "Zinda" kise kaha jaata hai?

- Kya khana khane aur pani peekar jo log saase le rahe hai wo Zinda hai?

- Kya wo log zinda hai jo is Maddi duniya ke liye apna sabkuch bech dete hai?

- Kya kisi zalim ke dar se uske zulm ko sehte hue jeena zinda rehna hai?

- Aise bahot se sawal khade hote hai jab "Zindagi" ki baat aati hai.

Aaiye dekhte hai Azadari hume kya sikhati hai?

Azadari hume sikhati hai ki Izzat ki maut zillat ki zindagi se bahot behtar hai.

Karbala hume dars de rahi hai ki hum bhooke aur pyase shaheed to ho sakte hai, lekin zillat nahi tasleem kar sakte.

Jo qaum maut se ladna seekh jaae use koi nahi hara sakta.

Aaiye ab dekhte hai ki Imam Khomeini apne is statement "Aaj tak is qaum ko Azadari ne zinda rakha hai" se wo kya kehna chah rahe hai?

Inqelab e Islami se pehle wala Iran hum sab ko pata hai, jaha fahasha aam tha, ise Middle East ka Paris kaha jata tha aur yaha ka Baadshah Reza Shah, jo ki bazahir Shia tha lekin American puppet tha, Iran me hijab par bhi pabandi lagane ki baat kar raha tha.

Imam Khomeini ne jab Reza Shah ke khilaaf muhaaz khola, tamam Irani qaum ne Imam Khomeini ki awaaz par labbaik kaha aur ek saath mil kar kaha tha ki "Hum bhooke pyase rehne ko tayyar hai, apne seeno par goliya khane ko tayyar hai, sanctions jhelne ko tayyar hai lekin Reza Shah ke zalim raj me rehne ko ek din ke liye tayyar nahi hai".

- Is qaum me ye jazba kaha se aaya?
- Kyu aisa jazba dusri qaum me nahi hai?
- Kyu dusri qaum me jo inqelab aae hai wo Maddi the aur khane peene par khatm ho jaate the?

Kyuki is qaum ne apna dars Karbala se seekha hai jaha ye sikhaya jata hai ji asl zindagi izzat se hasil hoti hai aur asl izzat Allah ki Riza me hai aur Allah ki Riza Adl ke liye ladne aur Zalim ke khilaaf apni awaaz buland karne me hai.

Humare saamne aisi bahot si qaum hai jo apne inqelab ke shuruaati daur me to bahot josh me rehti hai lekin kuch dino baad zalim se mil jaati hai ya zalim use todne me kamiyab ho jata hai.

Lekin hum saaf taur par dekh sakte hai ki jo Inqelab Imam Khomeini ne laya tha wo aaj bhi zinda hai aur Irani qaum ne Karbala se dars hasil karte hue Zalim America ke saamne kabhi apne irade kamzor nahi hone diye.

Is qaum ne hamesha apne Shohoda ki izzat ki hai. Is qaum ne Iran Iraq jang me 5 lakh jawano ki qurbani qabul ki lekin Zalim America ke saamne jhukna pasand nahi kiya.

Agar hum bhi sahi tariqe se Karbala ko samjh kar us par amal kare to inshaAllah hum bhi dekhege ki hum kisi bhi mulk me ho ya kisi bhi shahar me ho Allah ki madad humare saath rahegi aur hum bhi surkhru hoge.

Beshak Rasul e Khuda (s) ne sach kaha hai ki "Imam Hussain (a) ki shahadat me wo aag aur hararat hai jo Momineen ko qayamat tak (Zulm ke khilaaf) khamoshi se baithne nahi degi."

Aao ek kaam kare..
Karbala aam kare.

Tehrir: Abbas Hindi

8 Aug 2017

Kya Mujtahid ke fatwe ko dekh kar uske Ijtihad se inkaar kiya ja sakta hai?


Jaisa ki hum sab jaante hai ki Shia Isna Asheri Fiqh jise Fiqh e Jafri bhi kaha jaata hai, iski buniyaad Quraan aur Ahlebait (a) par rakhi gai hai aur ise samjhne ke liye ek raah hai jise Ijtihaad kaha jaata hai.

Ijtihad karne ke liye ek taweel rasta hai jisme kam se kam 20 saal ki padhai ke baad Dars-e-Kharij dene aur alag alag mujtahedin ke Dars-e-Kharij attend kar ke hi is field me aage badha ja sakta hai.

Kya ek hadis dekh kar Mujtahid ke fatwe par ungli uthai ja sakti hai jise sadir karne se pehle ek Mujtahid hazaro hadiso ko refer karta hai aur uski sanad, rijal aur bahot se pehlu dekh kar fatwa deta hai?

 
Bilkul nahi! kyuki hum sirf ek hadis dekh rahe hai balki apna fatwa dene se pehle Mujtahid ko ise apne Dars-e-Kharij me bahot se Mujtahedin ke saamne prove karna padta hai.

Humari Fiqh me bahot se Mujtahedin ke bilkul alag alag fatwe hote hai lekin isse aapas me koi takraao nahi paida hota.

Kuch misaal is tarah se hai:
👇🏼👇🏼👇🏼

Namaz-e-Juma ke waqt ko le kar sabhi Mujtahedin ka manna hai ki Zawaal se kaafi waqt hone tak bhi hum Juma ada kar sakte hai lekin Ayatullah Sistani ke fatwe ke hisab se Zawaal se qareebtar agar Jume ka Khutbe ka aaghaz hona chahiye.

Ayatullah Sistani ka ye masla unke ustaad Ayatullah Khoei se alag hai. Isi tarah chand ka masla bhi hai. In maslo me alag alag Mujtahid apni research ke tahat Shia hadiso ki kitab me research karte hai aur uski sanad ke aetebar se hadis ke sahi ya galat hone ke natije par pahuchte hai phir apna fatwa dete hai.

Peacock ka gosht khana:

Kuch hadis me aata hai ki humare Aaimma (a) ne Peacock ka gosht khana haram qarar diya hai.

Masalan, Imam Mohammed Baqir (as) farmate hai ki Peacock aur Khargosh ka gosht khana haraam hai (Mana Yazar ul Faqih, hadith No 4197).

Lekin Ayatullah Sistani ke fatwe ke hisab se Peacock ka gosht khana halal hai (Masla No. 2633 - Slaughtering and hunting of animals » Rules of things allowed to eat and drink).

Ayatullah Sistani ne zarur wo hadise padhi hogi jisme Peacock ka gosht haram hai lekin unki research me bahot si aisi hadis bhi guzri hogi jisme Peacock ka gosht khane me harj nahi jis par Ayatullah Sistani ne apna Ijtihad kiya jiski bina par unhone ye fatwa diya jo ki bilkul sahi hai aur isme shak ki koi gunjaish nahi ki ja sakti.

Chess ka masla: 
Peacock ke gosht ki tarah Chess khelne ka masla bhi hai.

Kuch hadis me Chess khelne ko mana kiya gaya hai lekin bahot se Mujtahedin jin me Ayatullah khamenei, Ayatullah Nasir Makarem Shirazi aur dusre Mujtahid shamil hai; ye kehte hai ki agar Chess par gambling na ki jaae to iske khelne me harj nahi. Is masle me bhi Mujtahedin apni research saikdo hadiso par based rakhte hai jo is tarah ki chizo ke liye milti hai.

Ye natija bhi Ijtihad aur Dars-e-Kharij ke baad nikala gaya hai.

Music ka Masla:

Music ke liye bhi bahot si hadise hai jinme iske istemaal ko haram qarar diya gaya hai lekin Mujtahedin ne do qism ke Music ki baat ki hai 1. Halal Music aur 2. Haram Music jo bahot si hadiso me aata hai, jiske tahat Mujtahid kisi faisle par pahuchta hai.

Ayatullah Sistani aur Ayatullah Khamenei dono is mamle me same fatwa dete hai.

Tashhud me Shahadat-e-Salisa:

Kuch log Hadis le kar aate hai ki Namaz ke Tashhud me Shahadat-e-Salisa padna jayaz hai.

Is hadis ko Mujtahid ne bhi padha hoga lekin unki nazar se is mauzu par hazaro hadise guzri hogi aur unke deep research se ye prove nahi hota ki ye padh sakte hai.

Isiliye Ayatullah Sistani ke nazdik Shahadat-e-Salisa Namaz me padna sahi nahi hai.

Upar di hue kuch misaale hai jo ye batate hai ki Ijtihad aur Dars-e-Kharij ek alag field hai jaha ek do hadis jaanne se kaam khatm nahi ho jaata balki ek Mujtahid apni saari zindagi de kar us maqam tak pahuchta hai ki apni Research aur dusre Mujtahedin ke saath behas o mubahisa kar ke kisi natije par pahuche.

Agar kisi Mujtahid ka fatwa hume batai gai Hadis se match nahi karta, iska matlab ye nahi ki Mujtahid ka fatwa galat hai.
Balki hum abhi tak us field se bahot dur hai aur hum us masle me comment nahi kar sakte.

Nahi to Ayatullah Khamenei ke saath saath Ayatullah Sistani aur Ayatullah Makarem Shirazi galat sabit ho jaaege.

Mujtahid par apna comment sadir karne se pehle hume do baar soch lena chahiye ki hum kis shaksiyat ke muqable me apna muh khol rahe hai.

Yehi Mujtahid aaj saari duniya me Shi'at ki tarweej, tabligh aur hifazat kar rahe hai.

Allah hume Mujtahedin ki qadr karne aur unki izzat karne ki taufeeq ata kare.

30 Jul 2017

Mujtahid ki Tauheen par Federation khamosh kyu?

Kuch dino pehle Ek Aalim ki tauheen ka bahana bana kar apni siyasi rotiya sekne wale Federation ke ahalkar aaj Ek Azeem Mujtahid Ayatollah Khamenei aur Mujahid Fi Sabilillah Syed Hasan Nasrallah ki tauheen par khamosh baithe hue hai.

Na khud Federation se koi letter baazi hui aur na unki member Jamato se kisi tarah ka khat aaya. Sawal yeh hai ki aisa kyu?

Mulk bhar me apni pakad banane ke firaq me lage Rangeele VP sahab ne pressure kar ke aur jamat progress fund ka lalach de kar Jamato se pichle case me condemnation letters to issue karwa liye the kyuki waha unki personality mazboot ho rahi thi.

Lekin jab baat asli mazhabi shaksiyat par aai to Rangeele VP sahab ghoshanasheen (gharo me baithe)  nazar aae.

Jab kisi ne un Jamato se letter issue karne ko kaha jinhone Rangeele VP ke bolne par pehle letters issue kiye the to wo log baukhlaae hue nazar aae. Unke liye sawal ye tha ki Rangeele VP ki maane ya Deeni shaksiyato ke liye awaaz uthae.

Lekin Rangeela VP to apni seat bachane ke liye aur Mujtahedin ki tauheen karne walo ke vote hasil karne ke liye khamosh tha aur uski pittu jamate VP sahab se koi order na milne ki bina par khamosh thi.

- Sawal ye hai ki Federation kis liye bana hai?
- Rangeele logo ko Ummat par thopne ke liye ya phir Deen aur Ummat ke liye kaam karne ke liye?

Agar Federation ke Vision me Deen nahi hai to Ummat ko aise Federationo ko ukhad bahar fekna chahiye aur apni baagdor Mazhabi Olema ke supurd kar deni chahiye.

Waseem Rizvi aur Shia Qaum Waseem Rizvi aur Shia Qaum

Hindustan ke State Uttar Pradesh me aaj Bhartiya Janta Party ki hukumat hai. Isi State me Shia aabadi ka bada hissa bhi rehta hai. UP State...

ईद ए मिलाद की खुशियों के दिनों में भाईचारा ईद ए मिलाद की खुशियों के दिनों में भाईचारा

उमूमन यह देखा जाता है कि खुशियों के दिनों में लोग अपने आपसी गीले शिकवे भूल कर एक दूसरे से गले मिलते है और मिल जुल कर खुशियां मनाते है। ऐसा ...

Azadari Ne is Qaum ko Zinda Rakha hai - Imam Khomeini (a.r.) Azadari Ne is Qaum ko Zinda Rakha hai - Imam Khomeini (a.r.)

Humne aksar suna hai ki humari qaum ko azadari ne zinda rakha hai ; jo sunne me bahot achcha aur dil ko chu lene wali baat hai. Lekin agar ...

Kya Mujtahid ke fatwe ko dekh kar uske Ijtihad se inkaar kiya ja sakta hai? Kya Mujtahid ke fatwe ko dekh kar uske Ijtihad se inkaar kiya ja sakta hai?

Jaisa ki hum sab jaante hai ki Shia Isna Asheri Fiqh jise Fiqh e Jafri bhi kaha jaata hai, iski buniyaad Quraan aur Ahlebait (a) par rak...

Mujtahid ki Tauheen par Federation khamosh kyu? Mujtahid ki Tauheen par Federation khamosh kyu?

Kuch dino pehle Ek Aalim ki tauheen ka bahana bana kar apni siyasi rotiya sekne wale Federation ke ahalkar aaj Ek Azeem Mujtahid Ayatollah ...

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments