Kya aapko pata hai Karbala ka waqya runuma hone ke pehle halaat kaise the?
Sirf itna nahi tha ki Yazeed sharab pita tha aur badkari karta tha... Balki Yazeed ne ek aisa kaam kiya tha jisse ki samaj ka tana bana kharab ho raha tha.
Wo kya kaam tha?
Yazeed ne apni hukumat me aisa mahol banaya tha ki agar koi bura kaam karta to use rokne tokne wale ke dil me khauf rehta ki agar kuch kahega to Yazeed ka koi gunda mawali aa kar taklif na de de.
Iske ulat agar koi kisi ko neki ka hukm karta ya deen ki baat karta to use khud Yazeed ya uske chele chapate aa kar ye kehte ki tum apni zindagi jio lekin dusro ko ye sab neki weki mat sikhao.. isse mahol kharab hota hai. Khamosh baith kar samaj me shanti banae rakho.
Lekin jab koi hasi mazak, tanz, jokes hatta ke buri chize bhi samaj me share karta to use koi rokna to dur uske khilaf awaaz tak uthane ki koshish na karta.
Iska sidha sidha matlab tha ki Allah ke batae hue qanoon jise Amr Bil Maroof aur Nahi Anil Munkar kaha jata hai uska ulta hone laga. Jise Nasihat Bil Munkar aur Sukut Bil Maroof kaha ja sakta tha.
Aaiye hum apne atraaf dekhe!
- Kya aaj samaj me bina kisi khauf ke hum dusre ko acchi bato ki taraf dawat de sakte hai? Ya phir hum par Mulla, Shana ya badi badi karne wala jaise tags lagte hai?
- Kya samaj islami values se dur nahi ja raha hai? Aisa kyu hai ki ek Momin kisi dusre momin se deen ki baat nahi kar sakta?
- Kya humare samaj ke Ohdedaaro ne aisa mahol to nahi bana diya jahan Quraan, Deen aur Achchi baate karne ko samaj me fasad paida karna kaha ja raha hai?
- Kahi aisa to nahi ki buri bato par yehi Ohdedar khamosh rehte hai aur koi action nahi lete?
Agar aisa hai to phir samajh lijiye ki aaj ke daur me humare halaat waise hi hai jaise Karbala ke pehle Yazeed ne bana diye the.
Hum par zaruri hai ki agar hum aise halaat dekhe to Sachchi ka sath dete hue khade ho jaae aur aise samaj me deen ko aam kare, achche Olema ko samaj me laae aur samaj ke Ohdo se (Positions se) bure aur kharab logo ko dure rakhe.
Agar aaj aisa nahi karoge to kal hum dekhege ki samaj se deen gayab ho gaya hai aur deen ke naam par sirf rusumaat reh gai hai aur aise samay me humari nasle (aulaad) humare haath se jaane lagegi aur bachche ma baap ki aankho ke samne bure kaam karenge lekin walidain me ye taqat nahi rahegi ki unhe rok sake.
Jagiye.. Iske pehle ki burai khatm karne ke liye hume zyada badi qurbani deni pad jaae!