Hum ne Majlis aur Nauho me aksar suna hoga ki "Qatl e Hussain (as) hua Nara e Takbeer ke sath", "Imam ki shahadat se pehle fatwa jaari kiya gaya tha ki Hussain (a) wajibul qatl hai".
Samajh me ye nahi aata tha ki jab Yazeed ko deen se koi lena dena nahi tha to Takbeer ka naara kyu lagaya gaya? Fatwa lene ki zarurat kyu padi?
Ye chize aaj samajh me aa rahi hai.
Kuch mafaad parast log deen ke Ohdedar bane baithe hai jaise "Rangeela VP" aur deen, Janabe Fatima (s), Azadari aur rusumaat ka naam le le kaar awaam ko bewakuf bana rahe hai. Naam to deen ka lete hai aur rukume shariya (religious donations - Khums, Masjid building donation, etc.) Collect karte hai lekin jab ye fund dene ki baat aati hai to condition lagate hai ki unki baat manna padega.
Agar koi inki mukhalifat kare to unhe fund rokne ki dhamkiya dete hai.
Ye thik usi tarah hai jaise Yazid kiya karta tha! Khud to be-deen tha, naach gana kiya karta tha, haram halaal me farq nahi pata tha, shariat ka koi qanoon nahi pata tha; lekin Zabardasti deeni mansab par chad baitha tha jaisa ki aaj kal Rangeela VP aur uske chahite Chele chapate, Counsellors aur kuch jamat ke presidents deeni markaz ke seth ban baithe hai.
Agar koi inke khilaf ja kar hatta Majlis e Imam Hussain (a) bhi kare to ye log un par bhi pabandi lagate hai aur Majlis karwane ki saza me Maafi Nama likhwate hai. Kya ye Yazidi Sunnat nahi hai?
Yazid khud aa kar logo par zulm nahi karta tha balki uske niche wale log uski chaplusi me ye kaam karte the. Aaj bhi dhamki uske chele de rahe hai que awaam ko dabane ke liye gunde mawaliyo ko samne khade kar dete hai. Agar awaam gundo se nahi dari to fund rok lene ki dhamki dete hai.
Jab bhi hum aise mahol ko samne dekhe to humara kaam hai ki ek jut ho kar aise Rangeelo ke khilaf apni awaaz buland kare. Agar aisa nahi karoge to zalim mazboot hoga aur haq kamzor.
Isme darne ki zarurat nahi hai, InshaAllah fund ka intezam Allah kar dega aur zalim ke khilaf khade hone walo ki hifazat bhi Allah ke zimme hai.
Aao ek kaam kare, karbala aam kare
Zalim ke khilaaf mil jhul kar khade ho kar ye dikhaae ki aaj hum Imam Hussain (a) ki "Halmin Nasir" ki sada par "Labbaik" kehne wale hai.
Was Salam